MEIN MOHABBAT BARAY IBADAT KARUN
ay khuda honsla kuch aisa de mujhe
dushmunoo k liay muskuraya karun!
dosti mein jafa ka gila na karun
dostun se wafain nibhaya karun1
sukh zara bhe mile tou yaad rakhun usse
dukh bare se bare bhool jaya karun!
un k paoun tale garam sehraiun mein
apne jazbun ki khunki bichaya karun!
chand jis raat chamk na un k nagar
apne ashkun se deep jalaya karun!
mein mohabbat baray ibadat karun
koi shikwa na un se khuda ya karu..
Bookmarks