kuch dostun ka karam kaam kar gaya
manzil se fasla humain gumnaam kar gaya

khush bakhti-e-naseeb ka tara ajeeb tha
roshan howa tou zindagi ki shaam kar gaya

kuch zindagi guzarne ka dhang tha mukhtilif
kuch naam hum ko bewaja bednaam kar gaya

wo shaks apne ishq ki qimat na de saka
aur hum ko rastay mein hi neelaam kar gaya

sang apny le gaya meri duniya ki roshni
aur lamhe be basi k mere naam kar gaya

FAROOQI apni oot mein chupty rahao gay tum
karna tha jis ne kaam sar-e-aam kar gaya