usko chaha tha bhulana tou bhula bhe na saki
daag-e-dil apna zamane ko dikha bhe na saki

ek janat jo khayalun mein basi thi mere
khoobiyan is ki zamane ko bata bhe na saki

ek saya tha jise choo bhe nahi sakti thi
ek khaka tha jis ko mein bana bhe na saki

mere aishaar ki thakleeq ka bayis wohi thi
jab wo aya tou ghazal usko suna bhe na saki

kis ki ahat se machi dil mein yh halchal
ek jhonka tha hawa ka jise mein pa bhe na saki