1- Aap ki cooking kaisi hai khane walon ka point of view kya hota hai?
To b Frank Humko zyada logo ka cook karne ata nahi hai..bas 3 se 4 logo ka cook kar sakti hn..alhumdulillah jo cook karti hn acha hi cook karti hn..pehle pehle galtiyan hoti thi bt insan galti se hi to seekhta hai na
Bilkul sahi baat hai q k aap ne koi baat banaii nahi jo hai sach keh diya
2- Aap ki kaun c dish zayada pasnd ki jati hai?
ji Shauhar sahab ko mere kafi dishes pasand atey hi jaise kheema matar gurde fry gosh fry etc
Qeema khate he hain ya kabhi ghusse main qeema kar b dete hn? ab ye to pata chal gya ke bhaiya ghosht khor hain 3- kya aap ka joint family system hai ?
ji nahi sasural joint family system nahi hai..acha ye akela rehne ka faisala kis ka tha?
4- Aap ki saas achi hai ya susar?
ye To kafi tough sa sawal hai.. waqt k sath sath sab badal jate hai. I would say sasur ji kafi ache hai...Saas to azli dushman gini jati hai 5- Aap shadi se pehle
shohar ko janti thin?
ha ji bilkul family friend jo the ye janaabsachi muchiiiii
6- Kya aap ke shohar aap ki family se hain?
ji bilkul nahiAcha
7- Outing par kahan jana pasand hai?
jaha nature ho.. mjhe nature barha pasand hai asmaan pani greenery Achi pasand hai
8- Kya outing par khana bahir se khate hain ya ghar aa kar khate hain?
ghar akar kaun pakayega. Bahar se hi kha lete hai..Uff Allah itni kaahaili
9- Shohar ko kaun sa dress pasand hai?
Shauhar sahab ko dkhe ethnic zyada pasand hai
Acha ji
10- Aap un ko kaun se dress main pasand karti hain?
kurta pajamaaap in ko hamesha dulha dress main he dekhti hain 11- Aap ko shohar ki kaun c adat pasand hai aur kaun c na’pasand?
unka caring nature kafi pasand hai. Janaab ka chirana aur satana bilkul.pasand nahiIs par aur sawal hain wo next time
12- Aap dono khana akhte khate hain ya jis ko jab bhook lage kha laita hai?
wo ghar hote hai to sath khate hai.. warna nahi..bt dinner sath hi hota hai chahe jitni bhook lageVery Good
13- Aap maikey kitne dino ke baad jati hain?
mera jab Mann kare chale jati hn:DWah mojaan e mojaan jab dil kare jao.........
14- Kya aap ke shohar aap ko maikey chor kar aa jate hain ya wahan thehrna pasand karte hain?
ji wo kabhi mjhe chor kar aajate hai kabhi me khud chali jati hn.. Ji wo waha nahi teherte
is se to aur sawal uthte hain 15- Jab aap maikey jati hain to pehle kaun fone karta hai ,aap ya shohar?
ji ghar atey hi wo call kar lete hai mjhe...ye to issi surat main hota ho ga jab aap akeley jati hoon gee?
16- Aap kitne dino taka lag alag reh sakte hain?
mere mummy ka ghar mere ghar se bas15 se 20 min k distance par hai.. waise bhi shauhar sahab pehle Qatar me the Maikay ka to advantage hai baqi aap ko alag alag rehne ka experience hai .
17- Aap ki susral main kabhi larai huii agar ho to aap ka shohar kya role ada karte hain?
mere shauhar sahab mjhe lekar kafi protective hai
theek
18- Agar shohar se larai ho to sulah main pehal kaun karta hai?
shauhar sahab karte hai:Dwah kaya baat hai
19- Ghar main nangey paon pherti hain ya jotey pehan kar
mjhe zukam barha hota hai aur ghar k florring marbles k hai to footwear se hi phirti hn 20- Serdi zayada lagti hai ya germi?
sardi... mjhe thand bardash nahi...
ye to bachon wala mizaj hai,
Siso bohat bohat shukariya aap ke jawab perh kar inthaii khushii huii Allah aap ko hamesha khush rakhe (Aameen)
Bookmarks