SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 28 FirstFirst 12345612 ... LastLast
    Results 11 to 20 of 274

    Thread: Aliza On Hot Seat...!!!

    1. #1
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_html
      Ainee's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      1,188
      Threads
      267
      Thanks
      32
      Thanked 102 Times in 69 Posts
      Mentioned
      525 Post(s)
      Tagged
      4726 Thread(s)
      Rep Power
      25

      Aliza On Hot Seat...!!!


      • Assalam o alaikum ...!!!

        kaise ho UT ke insan o haiwaan, zameen o aasmaan, jin o charind parind..
        is waqt UT ki aik aisi hi makhlooq ko main is hot seat ki

        zehmat banane...

        ooppss.
        zabaan slip ho gai.kehne ka matlab tha zehmat dene waali hoon..

        jo ke bazaahir toh kam go, kam kam nazar aane wali insan hain.
        magar phir bhi hain intihaai posheeda dilchasp insan.


        I am going to welcome our very very latest member


        • You are most welcome to Hot seat




          How are you

          A welcome dhamaaka on your arrival







          Some Refreshments to welcome our guest







          Cold Drinks




          A Few more







          ziaada thannda ho gaya........





          You are most welcome as a guest.

          aap ko ziaada pareshaan na karne ka waada karte hain ham
          aur wo wada hi kia jo wafa ho.

          Abhi kuch basics sawalaat ke jawabaat dain..uske baad IN SHA ALLAH baaqi batain hoti rahaingi..zaroori ye hai ke....jawabaat jald az jald aur dilchasp houn..


          1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.
          2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin host ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.
          3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..
          4-aap ka friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhti hain?
          5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?
          6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?
          7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahaingi, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?
          8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se sab se ziaada kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..
          9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain
          10-adab se koi dilchaspi?
          11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala
          12-man pasand food and drinks?
          13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai
          14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age
          15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. .aisa kion?
          16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?
          17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?
          18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?
          19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai
          20-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..

          tamaam sawalaat mehez mere zaati zehen ki zaati paidawaar hain, inko siaasat ka hissa na samajhte hue. zaatyaat pe na liya jaye..warna nataaij ke zimmedaar aap khud honge..

          filwaqt fata fat ye hi sawaal mere zehen main aaye..baaqi maanda sawalaat aap ke jawabaat ke hisaab se hote rahainge. abhi in ke jawabaat diijiye...

          be had shukria..

          your turn now.









    2. The Following 4 Users Say Thank You to Ainee For This Useful Post:

      intelligent086 (02-02-2018),Moona (02-02-2018), Rohail (02-02-2018),Ubaid (02-03-2018)

    3. #11
      Administrator Admin intelligent086's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Location
      لاہور،پاکستان
      Posts
      38,412
      Threads
      12102
      Thanks
      8,639
      Thanked 6,948 Times in 6,474 Posts
      Mentioned
      4324 Post(s)
      Tagged
      3289 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبارکاتہ
      ماشاءاللہ
      @Ainee
      خوب صورت تھریڈ
      @Aliza (Aapi)
      آپ کو

      کہتے ہیں۔





      کہتے ہیں فرشتے کہ دل آویز ہے مومن
      حوروں کو شکایت ہے کم آمیز ہے مومن

    4. The Following User Says Thank You to intelligent086 For This Useful Post:

      Moona (02-03-2018)

    5. #12
      Moderator Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      Ubaid's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Location
      Dubai U.A.E
      Posts
      1,250
      Threads
      192
      Thanks
      785
      Thanked 550 Times in 440 Posts
      Mentioned
      409 Post(s)
      Tagged
      67 Thread(s)
      Rep Power
      8

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Aliza View Post
      Walekumasalam Ainee ji aur sabhi Utians ko

      Arey wah is Mahine Humko hot seat par mauka mila hai mashallah waise unexpected tha..

      Jaan sakte hai Kis ka mashwara tha ye

      Chale hum ready hai hot seat k liye




      1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.



      Alhumdulillah ji Allah ka karam hai thek hn.. Aur hot seat par baith kar Bohat acha lag raha hai.. unexpected tha k is dafa meri turn hogi.. bt I'm ok with it...

      aur khoob si tayyari bhi kar li humne



      2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin host ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.

      Mere Zehen me bas itna tha k host mjhe personally janna chahti hai aur is interview ko kamiyab banana chahti hai.. Aur in sha Allah ye interview successful hoga...

      3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..

      Mere do bhai hai ek barhe ek chote.. ek barhi behen hai.. Alhumdulillah I'm Happily married Aur mera ek pyara sa nephew hai jo mjhe bht azeez hai.. Aur ek nanhi si pari mere bhai k new born baby girl

      4-aap ka friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhti hain?

      Dost count nahi kiye jate... dosti me mera ek asool hai.. Me dosti jab karti hn to usey nibhati hn till d end... mere har frnd k apni ek position hai. Allah ka karam hai k mjhe bht ache dost mile hai life mein.

      Jaha tk qareebi k baat hai.. kuch dost hote hai aur kuch khas dost.. Bas har kisi ka appna ek makaam hota hai.. Aur mere liye mera har dost azeez hai



      5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?



      Me kareeb to apne mummy k hn.. bt chahti apne papa ko zyada hn.. mashallah se bt them both.. Allah bless them both in sha Allah ameen ya rab ul Aalameen



      6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?

      Age it's 26

      Qualification MBA

      Job nahi karti Abhi tk to



      7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahaingi, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?


      Apne muh miya mitthu

      Chale jo mjhe lagta hai wo bata deti hn. I feel k mere sabhi frnds ko lagta hai k kafi humble in nature hn.. sabki respect karti hn.. Dost banati hn.. helpful hn.. active hn.. masti bhi karti hn.. Aur sab se important rishte banaon to unhe nibhati hn..

      Aur dher sari posting karti hn..



      8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se sab se ziaada kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..




      Waise to mere liye Surat nahi Seerat matter karti hai..

      Ha agar mere bare me pucha hi hai to mere shauhar ko mere eyes barhe pasand hai to Allah ka karam hai ji jaisa bhi banaya hai Allah ne Alhumdulillah



      9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain



      Is sawal ka mtlb samajh nahi aya thora sa clear karde..



      10-adab se koi dilchaspi?
      .Dilchaspi to meri shayari me barhi zyada hai.. ap dkh sakte hai..

      Aur uske alawa posting karne me hehe



      11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala


      Mashghala is mtlb to nahi pata..bt I shayaris posting playing with my little nephew ghazal song aur dost banana hehe


      12-man pasand food and drinks?

      Waise to me moody hn mood k hisab se pasand badalti hai.. bt all time fav pani puri n junk food n drinks me to I'll have all kind of juices bt I pineapple juice

      13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai

      Bachpan

      Mere khayal se bachpan k din barhe haseen dilchasp aur shararat bhare hote hai d best moments of life



      14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age


      Insaan ko apne ye sare phases of life imaandari izzat saadgi aur respect se guzarni chahiye...

      Insaan jana jata hai yaad rakha jata hai uske aqlaq se..to bas koshish yahi rehni chahiye k hum zindagi waise guzare jaise hamara Rab chahte hai.



      15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. .aisa kion?

      Ab tak hamari jin jin se baat huwi hai sab added hai friend list me..aur hum sab se baat karti hn yaha to..

      Waise bhi humein join huwe kuch arsa hi huwa hai


      16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?

      ye classes to society ne banayi hai.. jab Allah apne bando me farq nahi karte to hum q kare..

      Best Insaan wo hai jis k dil me kauf e khuda hai.. bas



      17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?




      Is mamle me humthori si tedhi hn

      Humko thand me ice cream khana barha pasand hai.. bad me jo hoga dkha jayega.. bt this is the best thing thand me thandi ice cream



      18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?



      Me zindagi me hamesha ye maan k chalti hn k Allah pak jo karte hai ache k liye karte hai.. Allah apne khas bando ko hi azmate hai.. Bas dua hamesha yahi rehti hai k Allah wahi kare jo hamare haqh me behtar ho.. sacrifice k waqt sacrifice bhi Kia hai Allah k marzi samajh kar..i totally trust Allah beshak wo sab janne wale hai



      19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai

      Me wahi outfit pehenti hn jisme me comfortable hn.. I do wear all kind of outfits weather it b ethnic ya western

      20-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..



      Zindagi se hasil Kya Kia is ka to andaza nahi kabhi sncha nahi iske bare me...

      Ha bt seekha bht kuch hai..zindagi har morh par apko naye log nahi batein nahi snch se samna karati hai.. kuch se hum paar hojate hai aur kuch Sabaq sekha deti hai...



      @BDunc; @Jelly Bean; @intelligent086; @Aseer e Wafa; @_Alex_; @Ainee; @CaLmInG MeLoDy; @Veedoo; @Ubaid; @Hania Shah; @sehrish2134; @Moona; @Haniesh Shah; @smartguycool; @Youthful;

      Ap k barai mai jan kar boht khoshi hoyi.
      Boht saleqai sai jawabat diye ap nai janab. ap k jawabat padh k mujai esa laga k merai walai answers bachon k jesai thai mujai malom nahi tha k kis tarha jawab do, but ap nai boht achai jawabat diye.

      "Me zindagi me hamesha ye maan k chalti hn k Allah pak jo karte hai ache k liye karte hai.. Allah apne khas bando ko hi azmate hai.. Bas dua hamesha yahi rehti hai k Allah wahi kare jo hamare haqh me behtar ho.. sacrifice k waqt sacrifice bhi Kia hai Allah k marzi samajh kar..i totally trust Allah beshak wo sab janne wale hai"

      Beshak Allah sab par qadir hai.
      And we must trust only on Allah.



    6. The Following User Says Thank You to Ubaid For This Useful Post:

      Moona (02-03-2018)

    7. #13
      Moderator Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      Ubaid's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Location
      Dubai U.A.E
      Posts
      1,250
      Threads
      192
      Thanks
      785
      Thanked 550 Times in 440 Posts
      Mentioned
      409 Post(s)
      Tagged
      67 Thread(s)
      Rep Power
      8

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Aliza View Post

      Hi rohail sure I'll definetly answer it

      My fav colors r black peach pink n blue

      My fav personality.. Waise real life personality or reel life.. I would prefer real one my dad.. may Allah bless him inshallah ameen ya rab ul Aalameen

      Fav time i sunsets n late night stars moon me n songs thts it

      Fav dish as I'm moody bt i hyderbadi biryani

      Fav Game i use to play many games both indoor n outdoor bt khwaish basketball k baki reh gayi hai..


      Fav movie to bht si hai.. by i can say why kind of movie i would prefer obviously romantic movies...with happy endings

      Fav drama bhi bht hai jaise mohabbat tumse nafrat hai, hum safar zindagi guzar hai etc

      Fav actr now a days it's ranveer Singh after watching d latest song khaliballi of padmaavat

      Fav fruit pineapple


      Fav dress jisme me comfortable hn

      Fav book or novel i dnt read any.. pehle ek do novels parh liye the chetan bhagat k

      Fav section shayari section

      @BDunc; @Jelly Bean; @intelligent086; @Aseer e Wafa; @_Alex_; @Ainee; @CaLmInG MeLoDy; @Veedoo; @Ubaid; @Hania Shah; @sehrish2134; @Moona; @Haniesh Shah; @smartguycool; @Youthful;

      Nice to know about you.


    8. #14
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Moona View Post

      Beautiful Thread
      @Aliza Siso

      on
      Is dafa ap bhi kch sawal puch hi lein siso


    9. The Following User Says Thank You to Aliza For This Useful Post:

      Moona (02-03-2018)

    10. #15
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Ubaid View Post
      Nice to know about you.
      Thank u ji


    11. #16
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Ubaid View Post
      Ap k barai mai jan kar boht khoshi hoyi.
      Boht saleqai sai jawabat diye ap nai janab. ap k jawabat padh k mujai esa laga k merai walai answers bachon k jesai thai mujai malom nahi tha k kis tarha jawab do, but ap nai boht achai jawabat diye.

      "Me zindagi me hamesha ye maan k chalti hn k Allah pak jo karte hai ache k liye karte hai.. Allah apne khas bando ko hi azmate hai.. Bas dua hamesha yahi rehti hai k Allah wahi kare jo hamare haqh me behtar ho.. sacrifice k waqt sacrifice bhi Kia hai Allah k marzi samajh kar..i totally trust Allah beshak wo sab janne wale hai"

      Beshak Allah sab par qadir hai.
      And we must trust only on Allah.
      Q k ye hamara second interview session hai

      Ek aur forum par hamara interview ho chuka hai..


    12. #17
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by intelligent086 View Post
      وعلیکم السلام ورحمتہ اللہ وبارکاتہ
      ماشاءاللہ
      @Ainee
      خوب صورت تھریڈ
      @Aliza (Aapi)
      آپ کو

      کہتے ہیں۔


      Khushamadeed k sath sath is thread me hissa bhi lein habib bhai


    13. The Following 2 Users Say Thank You to Aliza For This Useful Post:

      intelligent086 (02-04-2018),Moona (02-03-2018)

    14. #18
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Quote Originally Posted by Moona View Post

      18-Ma sha Allah bada acha jawab

      Me zindagi me hamesha ye maan k chalti hn k Allah pak jo karte hai ache k liye karte hai.. Allah apne khas bando ko hi azmate hai.. Bas dua hamesha yahi rehti hai k Allah wahi kare jo hamare haqh me behtar ho.. sacrifice k waqt sacrifice bhi Kia hai Allah k marzi samajh kar..i totally trust Allah beshak wo sab janne wale hai.
      Beshak

      Maine sara padh liya hai,bohat acha laga ,baqi jawab ki daad b deti hoon

      Shurkiya bht bht apko pasand aya bas interview succeasful hojayega im sure


    15. #19
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      Masha Allah
      aap ke jawabat bohot hi ache lage..
      parh ke khushi hui
      aap ne sache aur down to earth rehte hue jawab diye hain..
      chaliye toh phir main apne sawalaat ki potli kholti hon


      ji zaroor ap apni sawalo k potli khol hi lein..

      Aur shukriya bht bht k apko mere answers pasand aye...



      PART 1


      [LIST][*]
      1- ye name Aliza ka kia matlab hai?


      Aliza ka MATLAB "Joyful" hota hai.. jo k me hn



      2-kia kuch karti hain.aur kia kuch karne wali hian?



      agar yaha forum k baat kar rahi to Bohat si posting kar chuki.. Aur posting n shararat baki hai...

      Agar life ko dkhu to Parhayi kar chuki shadi kar chuki.. Aur life me bht se twist aur turns dkhne baki hai..



      3-aap ka interview lene ke liye aap ke zehen main koi khas bat jo abhi tak miss kar di gai ho..

      Miss to aisi koi Cheez huwi nahi hai.. siwaye Alex n bhaiya k.. mjhe lagta hai k in dono ko mere interview me pehle shamil hona chahiye tha.. jiska wajah se hum thori udas bhi hn


      4-UT par aap ka fav member, fav mod, and fav admin?

      Sab hi hamare fav hai.. to Sab ke bare me koi bata te chalu ab tk jin jin se mili hn

      @BDunc; this is my ly bhaiya jisne mjhe UT par invite Kia guide kia motivate Kia support Kia aur meri har achievement celebrate k.. bt me bhaiya se thori si naraz hn mere interview k waqt hi inhe gayab hona tha jo k thek baat nahi

      @_Alex_; Alex urf armaan mere Bohat ache dost hai.. very genuine aur thore se shayariana mizaj rakhne wale.. a very dear friend of mine no doubt... jo khud bhi kafi arse se gayab hai.. Ab nahi chalega ye armaan sahab

      @CaLmInG MeLoDy;
      hamari pyari ruby siso... Me to pehle barhi confuse thi k calming melody kaun hai aur jelly bean kaun hai.. barhi confuse hojati thi phr badme pata chala arey ye to dono hi ruby sis hai.. jaha to Maine inhe jana very humble in nature very sweet n genuine.. Aur sara page k responsibility yahi uthati hai.. page k liye bht dedicated hai.. n very sweet

      @Ubaid; phr aye he ubaid sahab jin se hamari dosti kuch huh huwi k ye janab the new member aur bhaiya ne janab k zimmedari humein do k page ghuma lao..hehe tabhi hamari dosti hogayi.. Aur janaab ne posting me hai kafi madad k meri..

      @Veedo; ji one of the best designers of UT no doubt.. inse hai hamari baat cheet ek competition se huwi thi aur inke designed images k to Kya Kehne mashallah very talented person

      @Moona; moona sis pyari si masoom si aur shararat bhari.. inhe dkhte hi aisa lagta hai jaise ye to bilkul meri tarha hai masti karne wali.. bt ye sirf raat ko ati hai.. din me inka deedar to aj tk nahi huwa..

      @smartguycool; urf Hassan sahab inse to kch din pehle hi dosti huwi hai.. janab shayari ka shauk rakhte hai hamari tarha inse mulaqat forum k shayari section aur chat box par huwi.. janaab ko barhe gile hai k jab wo online hote hai koi online nahi hote.. barhi hi mehnati hai koi hi arse me temperature ban gaye aur apna rang badal liya...

      @intelligent086; Hamare pyare Habib bhai jo Humko jar dafa har post me langri kar dete hai urdu post kar k.. ab to aisa lagta hai k ye mjhe Urdu seekha kar hi chorenge
      Habib bhai mere har post par habib bhai ka comment zaroor hota hai tabhi to ye top poster of the forum hai... hamari nazar i ki posts par hai mauka mila to inke sare posts chura lungi

      @Ainee; ji moderators urf welcomer of UT.. barhe khubsurat threads banati hai ye.. inke bare me zyada kch to nahi janti by kafi responsible staff of UT hai ye..

      Agar kisi ko bhul gayi hn to badme bataungi unke bare me




      5-zindagi se khush hain? kia mila aap ko zindagi se?



      Ha ji alhumdulillah zindagi se bht khushb hn me.. Zindagi se jo bhi mila hai bas Allah k rehmat hai..


      6-khud ko khushnaseeb samajhti hain ya bas younhi?


      ha ji beshak khud ko khushnaseeb samajhti hn.. badnaseeb samjhne sirf bewakoofi aur Allah k nashukri hogi. Alhumdulillah Allah ne bht achi zindagi aur neeymaton se nawaza hai


      7-student life guzar rahi hain ya practical life?


      ji Parhayi to kar li ab kahe k student life ji.. bas Life alhumdulillah ache se guzar rahi hn me.. halat situations jab kaise ho ye kaise pata chalega..snch aur reality alag hoti hai.. bas situation on time par handle karlu wahi barhi baat hai..


      8-mujhe agar aap ko koi aik baat kehni hoti toh kia kehteen?




      Lein apko kehni hai to mjhe kaise pata chalega bataye



      9-aap ko khud ki konsi baat aur aadat se se ziada pasand hai?

      hum kafi friendly hn ye baat achi lagti hai Humko..

      10-agar fashion ki baat ki jaiye.toh aap ki nazar main lafz faishon ko define karain.aur aap apne liye kaisa faishon pasand karti hain?

      so jisme comfortable ho aur ap jo pehen kar khush hojao wahi fashion hai meri nazar mein.. hum jar Cheez prefer larti hnchaje wo ethnic ho ya western bt in pardah

      PART 2

      1-Zindagi main koi aisa kaam kia jis par pachtana para ho

      Har kisi par bharosa kar lena

      2-zindagi ka koi aisa lamha jo lout aaye

      Bachpan k din..

      3-kabhi mohabbat ki?

      ha ji mohabbat to k hai

      4-Mohabbat ke bare main kia khayal hai?

      mohabbat k pros n cons dono hai.. dkhne me mohabbat barhi haseen hoti hai by hoti barhi zalim Cheez hai.. mil jaye to qayamat na mole to qayamat hehe.. aj to aisa koi shayar nahi bana jisne Mohabat ko sahi lafzo me izhar Kia ho.. kisi k liye wafa hai to kisi k liye qaza kisi k liye jafa to kisi k liye saza

      5-jazbaat ka izhaar kaise karti hain

      forum world me shayari k andaz me.. Aur life mein lafzo me to kabhi song k through

      6-aap ka ideal kia hai.kia mila aap ko ap ka ideal

      ideal jaisa kch nahi hota sari duniya hi imperfect logo se bhari par hi hai... Me imperfect mere shayad imperfect n we both fill k imo3rfectness of each other's alhumdulillah...

      7-bachoun ki konsi bat achi lagti hai


      bache hi ache lagte hai... to lazim hai bacho k hat harkat barhi pasand ayegi mjhe..


      8-agar koi ap se rooth jaye toh kia karti hain


      màfi mang leti hn.. nadim hona galat nahi bt is k wajah se rishte me qalal Lana galat hoga..


      9-zindagi ka khoobsoorat lamha / din

      Nikkah wala din aur wo lamhe mashallah se barhe haseen rahegenge taqayamt... alhumdulillah


      10-apni pasand ka sher yahan share karain



      Ek Kun pe Hai Kayam Duniya
      Ek Kun Pe Fanah Hojaye



      .






    16. The Following 2 Users Say Thank You to Aliza For This Useful Post:

      intelligent086 (02-04-2018),Moona (02-03-2018)

    17. #20
      Forum Manager Forum_Manager_Female Aliza's Avatar
      Join Date
      Nov 2017
      Posts
      9,529
      Threads
      352
      Thanks
      0
      Thanked 1,372 Times in 1,055 Posts
      Mentioned
      395 Post(s)
      Tagged
      7 Thread(s)
      Rep Power
      16

      Re: Aliza On Hot Seat...!!!

      bohot fit answers hain @Aliza ji

      aur mizaaj ka matlab mood/nature hai.


      acha ji samajh gayi


      • 1.Apni zindgi k recent hungamakhez incidnt k bare me batao

        hunagmakhez masti to cousins k frnds k sath barhe kiye hai..hum sare cousins new games khelte the zombie race.. isme kuch huh karte the k start line k dead line to4 zombie walk karte huwe jana rehta tha aur jo sabse ache se zombie walk karega aur sabse late line pahunchega wo winner.

        Aisi hi kafi masti kiya karte the hum..



        2.Indian movies pasand hen ?? if yes to konsi wali ??


        ha ji bollywood movies barhe pasand hai..aur pakistani drama bhi barhe pasand hai mostly romantic movies or drama prefer karti hn


        3.Fk ka most funny moment as of now

        Siso hum Fk me nahi UT par hai.. funny ab tk to yaha aisa kch funny huwa nahi hai..

        4.Kis ki pitai lagane ka dil krta he ??


        pitai lagane k nahi pitayi karne ka Mann karta hai Alex k.. challenge kar k khud yaha se farar ho chuke janaab


        5.Lappy use karti hain ya computer ya mobile ??


        mobile use karti hn


        6.shadi krne ki jaldi ap ko thi.ya ghar waloun ko.


        Shauhar sahab ko:D.. mera nikkah 22 years me hoagay tha ruqsati 23 years me huwa Parhayi khatm ho chuki thi.


        7.Agr UT k kisi member k sath movie ka plan banana ho to wo kon hoga?? or konsi movie dekhne jaogi ??

        kisi ek k sath to do moona sis hongi q k wo mjhse kafi similar hai.. Koi comedy movie dkhungi..

        8.koi pride he life ka??


        pride jo hai bas Allah ka karam hai


        9.Me tumhari Birthday party pr invited hun agr ..to mujhse kia gift lena chahogi ??


        waise to dua barhi zaroori hai.. apart gem that Humko pakistani outfits barhe pasand hai apse wo mangungi...


        10.kabiii Mr Hubby ne koi gift dia

        mere hubby hi mashallah se Allah k taraf se mjhe sabse barha gift hai.. Aur shauhar sahab meri har khushi ka khayal rakhte hai is se barha gift ek wife ko Kya chahiye...

        if yes ..to kia dia??





    18. The Following 2 Users Say Thank You to Aliza For This Useful Post:

      Moona (02-03-2018),MuhammadJabran (04-27-2018)

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 28 FirstFirst 12345612 ... LastLast

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    www.google.comsearchq=kotlta hji sha layyah&client=ms-opera-mini&channel=newzindagi m kia acha kam krna chaiy jo Allah ko pasand ajen

    old age may khosh healthy kaise raha jaye

    Khubsorat parind

    jis main jitna zarf hai utna he woh khamosh hai

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •