1) Ap abbu k chahite ho k Ammi k
Ans. Mai Abbu ka chahita hon.
2) Abbu strict hai k Ammi
Ans. Abbu boht strict hai.
3) Ap kitne bhai behen hai
Ans. Ham 3 Brothers aur 5 Sistera hai. (Masha Allah kahiye ga)
4) Apki date of birth n birth place Kya hai
Ans. Mera Date of birth 15 March 1996 hai.Jis waqt mai paida howa us waqt mera walid sahib Peshawar mai mulazimat karta tha r ham udhar rehtai thai so mai udhar paida howa hon.
5) Apne sheher jo Pakistan me hai uske bare me humein kuch bataye
Ans. Sawat Valley hamarai elaqai ka nam hai. ye boht khobsorart jaga hai log door door sai tafreh k liye atai hai. is mai qareban 99% phatan rehtai hai. ye sardi mai boht sard hota hai baraf bhi padti hai. R garmi k mosam mai ye mutadil hota hai. Bahar(Spring) k musam mai har taraf phool kilthai hai jis sai ye khobsorat jagah r bhi khobsorat lagti hai. ye boht tarekhi (Historical) jagah bhi hai. is k barai mai ye mashhoor hai k Angreezo k sar thod koshash k bawajood bhi wo log ye jagah qabza nahi kar sakai.
is mai qemati patharon k khanien hai jo international market mai boht mehngai bechai jatai hai.R bhi boht sari khasosiyat hai is jaghai k. ap ko r kuch janna ho to is link pai dekh sakti hai (https://en.wikipedia.org/wiki/Swat_District)
6) Ap apne bhai beheno me kis se zyada close hai..aur kis se apne sare kaam karwate hai
Ans. Mai apni badi behn ka boht close hon mera jitna bhi kam hota hai sara wo kar deti hai.
7) naniyal zyada pasand hai k dadiyal aur wajah bataye
Ans. Mujai nanyal ziyada pasand hai Q k udhar merai boht sarai ham umar czns hai jin sai mai gaf shaf laganai jata hon. bachfan mai bhi ek sath kheltai kodtai thai isi waja sai mujai wo log ziyada pasand hai.
8) jab ap kinder garden me the to apki koi fav teacher ?
Ans. Ek teacher tha jo ham ko parhata kam r qissai(kahaniyan) ziyada sunata tha isi waja sai wo ham ko boht pasand tha.
9) Bachpan k aise Kaunse khel hai jo ap ab miss karte hai
Ans. Gotiyan khelna, chindro (gata), goli danda, chapal mar, peto garam etc. boht sarai khel thai jo mai boht miss karta hon.
10) Bachpan ka koi dilchasp qissa sunaye jo ab sochte hain to hasi ati hai
Ans. Ek martaba esa howa k hamarai gali mai ek banda aya jo kabad kharedta hai r us k badlai bachon ko kuch metha ya paisai detai hai (Jo aam tawar qareban har jagah hota hai). to wo banda acha khasa badai umar ka banda tha likn us ka qad(height) boht kam tha. to mai nai bhi gar sai kabad liya r us k pass giya ta k kuch metha lon us sai. to mai nai us ko kaha "Chit Mama" (pushto ka lafz hai jis ka matlab hai chotai qad walai mamo) mujai bhi metha do. mera ye kihnai par wo ghussa hogya r bina kuch diye hi chala giya.
@BDunc @Aliza @_Alex_ @Moona @intelligent086 @Jelly Bean @CaLmInG MeLoDy @Ainee @Veedoo @smartguycool
Bookmarks