SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 10 of 29

    Thread: Certificates Of Appriciations...!!!

    Threaded View

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Certificates Of Appriciations...!!!


      Assalam o Alaikum
      Hamain hamari UT team waqtan fa waqtan support karti rehti hai.
      toh kion ne hamari team ko appriciate kia jaye. is maqsad ke liye
      ham ne kuch certificates ka arrangment kia hai. ye certificates Founder and Admins of UT ki janib se diye ja rahe hain.

      is thread main..main apni raaye ka tamaam team ke bare main one by one izhaar karoongi..aur baaqi aap dono matlab
      @Admin @
      intelligent086

      aap dono ki raaaye bhi in users ke baare main yahan hona bohot zaroori hai. one by one ap dono bhi team ke bare main apne views zaroor share karain..
      thanks..

      ji biltarteeb chalte hain.
      @Rana Taimoor Ali
      Managment

      Rana taimoor ali hamare forum ke liye bunyaadi ehmiyat ke hamil hain. ap urdu tehzeb main bator-e-khas team main mojood hain. aur ye wo team member hain .ke jo urdu tehzeb ke ilawa kisi aur forum main kabhi bhi nahi jate. inka urdu tehzeb ke sath hamesha hamesha ka sath hai. ye hi quality inko baki tamam team se munfarid karti hai. har iinsan main kuch achaaiyaan bhi hoti hain.kuch buraaiyaan bhi. tamaam tar achaaiyoun ke sath..aik khaami.jo keinki majboori hai.wo hai inka job main busy hona.. ham aap ko aap ki job ke hawale se good luck wish karte hain. bas urdu tehzeb main apne section ke special time de dia karain. sticky threads, old threads aur non related threads ka khas khayal rakha karain..wo sab khayal mujhe khud rakhna parta hai.
      aap ka urdu tehzeb main shamil hone. urdu tehzeb ke liye mehnat karne. sheilds taiyaar karne. aur certificates taiyaar karne ke liye bohot bohot shukria. aap ka certificate ye raha.



      @
      KhUsHi
      Forum Manager

      Rania newely named Khushi.ko ham main se koun nahi jaanta. ap urdu tehzeb main kaafi waqt se bator-e-member shamil raheen. magar khamoshi se postings karti rahi hain. magar phir team ka hissa ban jane ke baad se. aap ne urdu tehzeb ko baqaida waqt dena shroo kar dia..mujhe yaad nahi parta ke kabhi bhi main ne UT login kia ho.aur main ne Rania ko online na daikha ho. inhoun ne urdu tehzeb ko bohot waqt dia. aur apni issi mehnat ki waja se aaj khushi Forum manager ki seat par hain. khobsorat threads post karna. competetions and result announce karna. aur forum ke liye har waqt hazir rehna aap ki khaasiyat hai. aap ki is mohabat aur pyar ke liye aap ka certificate.

      @Arosa Hya
      Super Moderator

      Arosa hamari bohot pyari member. aaj kal studies main busy hain. kam kam online nazar aati hain. magar jab bhi aati hain inko jo bhi zimmedari di jaye.kabhi bhi inkar nahi karti hain. ye hi inka khaasa hai. islam section ke hawale se in ki dilchaspi aur threads ki checking se koi bhi inkar nahi kar sakta. dilchasp batain karne wali. urdu tehzeb team ke sath friendly mahol rakhne wali.aur sab ko izat dene aur izat lene wali hamari team member arosa hamare liye bohot qeemti hain. I hope Arosa bhi UT ke liye aisi hi soch rakhti hain..jaisi soch UT aap ke liye rakhta hai.UT wish you a good luck in life. aap ko dia jane wala certificate

      @Mamin Mirza
      Moderator

      Mamin mirza UT team ki most demanding moderator hain. kion ke aaj tak aap ne har us zimedari ko nibhaya hai jo aap ke zimme di gai. aap UT ke awaaiel main forum manager ki zimmedari se rukhsat le kar bohot waqt urdu tehzeb par nahi aayeen theen. agar aati rehti toh abhi urdu tehzeb par mazeed halchal hoti. moderator ki zimmedariyoun main , users ko involve rakhna. threads par apni raaye dena. apne section ki ache se daikh raikh. bator-e-team zimedari ka ehsaas rakhna aur team ke sath interaction aap ka khaasa hai. ap writer bhi hain, poet bhi. aur dilchasp insan bhi. urdu tehzeb ki janib se ap ko dia jane wala certificate

      @UmerAmer
      Moderator

      Umer urdu tehzeb ke bohot purane member hain. urdu tehzeb par ap ko aksar moderator rakha gaya. magar jaisa ke sab jante hain ke apni ghair zimmedaarana activiteis ki waja se. urdu tehzeb aap ko aksar demote karta raha. magar aap bar bar request par phir se UT ko acceptable rahe. kion ke UT apni team aur users ko bohot ehmiyat deta hai. lehaza UT ne Umer ki ehmiyat sebhi kabhi inkar nahi kia. magar ab dobara se UT team banne ke baad se Umer ko jo bhi zimedari di jati hai. ye usko ache se poora bhi karte hain. aur threads main comments. threads postings. aur zimmedari ke sath apne where abouts update karte rehte hain forum pe. ye hi aap ka khasa hai. aap ko dia jane wala certificate.



      @
      Ainee
      Moderator

      Ainee hamari wo moderator hain.ke jinka ap ke sath koi khas interaction nahi hota. magar choonke inko sirf aur sirf aik zimmedari sonpi gai hai wo hai new members ko welcome kehne ki.toh ye apni is zimedari ko baqaaidgi se poora karti hain. aur new members ko foran welcome karti hain. aap choonke studies ki waja se urdu tehzeb ko bohot time nahi de paati hain..magar phir bhi apki zimmedari waqt pe poori karne pe urdu tehzeb ki janib se aap ke liye certificate ye raha

      @
      Veedoo
      Technical Staff

      veedoo sir ke name se koun waqif nahi. urdu tehzeb ki shan. aap ne hamain GP ki request pe join kia. jiske liye ham GP ko special thanks kehte hain. ap urdu tehzeb ke liye logos, banners aur amoman team ke liye signatures bhi design karte hain. designing master hona ap ka khasa hai. zindagi ki bohot ziaada masroofiyat ki waja se ap ne bator-e-team shamil hone se inkar kia. magar UT ke liye ap ke kaam ko hamesha hazir rakha. ye hi aap ka khasa hai. baqol aap ke. ap UT ke liye hamesha mojood hain. bashart ye ke ap ke pas time ho. UT ne aap ko ap ki is kaawish aur mehnat ke liye certificate of appriciation dena zaroori samjha. ye raha ap ka certificate


      Kisi bhi forum ki kamyaabi ke liye team ka active hona. users par nazar rakhna. threads par comments dena. aur competetions and results annouce karna sab se ehem hai. ye baat aap tamaam log jante hain. Main umeed karti hon ke ab se aap log bohot zimmedari se ye kaam karainge. aur aane waale saaloun main urdu tehzeb ko pakistan ka number one forum hone main help ful rahainge..go ke wo waqt door bhi nahi.

      khush rahian.aabaad rahian..











    2. The Following 9 Users Say Thank You to CaLmInG MeLoDy For This Useful Post:

      Arosa Hya (02-03-2016),BDunc (02-10-2016),intelligent086 (02-03-2016),KhUsHi (02-03-2016),Mamin Mirza (02-05-2016),Moona (02-10-2016),muzafar ali (02-06-2016),Rana Taimoor Ali (02-09-2016),UmerAmer (02-08-2016)

    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    certificate tib e nabvi image

    hunarmand logo k liye certificate

    Certificate ko urdu main kya kehte hai

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •