• Zakhm ko phool to sarr-sarr ko saba kahte hain
  • Jane kya daur hai kya log hain kya kahte hain.

    Kya kyamat hai ki jinke liye ruk-ruk ke chale
    Ab wahi log hamain aabla - pa kahte hain.

    Koii batlaao ki ek umra bichda mehboob
    Ittifakan mil jaaye to kyaa kahte hain.

    Jab talak door hain to teri parsitash ker lain
    Hum jishe chu na saken usko Khuda kahte hain

    Kya taajjub hai ki hum ahle - tamanna ko 'Faraaz'
    Weh jo mahrume-tamanna hai bura kehte hain.









Similar Threads: