Assalam o Alaikum to all of you.
Special Thanks kehne ke liye ye reply @Mamin Mirza
ye aap ki mujh na cheez se mohabat hai.ke ap ne qalam se narazgi ke bawajood mujh pe hath saaf kiye :D. kahin kahin toh aise shahaana andaaz main hath saaf kiye.ke mujhe gumaan guzra ke..abhi kisi police wale ke hath lageen..ya abhi dhar li gayeeen.... magar shukar hai..aap ke hath main wo safaiee paai gai ke..bare se bare dehshaat gard ke pas bhi aisi safai nahi hogi
now be serious. sach ye hai ke.acha laga..bohot hi acha laga parh kar. khule dil.aur saaf goi se kaam lete hue..saaf saaf aur khara khara likha hai. tehreer likhne main toh ap ka koi saani hi nahi hai. alfaz ka istimaal. misaalain, aur bande ko naam dene main aap kamaal rakhti hain..aik tehreer jo amer aiyar par thi.wo yaad aa gai.
MashaAllah se aap ki yaad daasht bhi achi hai. pakistan contest ka zikar bhi kia ap ne..wo bhi bohot acha laga.. halanke ..wo mere liye naya waqt tha.. naya naya qadam rakha tha forum world main. par aap hi ne hamesha meri taang tooti hoi urdu ki taang kheenchi..uski waja se hi meri urdu apne pairoun pe khari ho pai hai..abhi bhi bohot si ghaltiyaan (aww nahi.mujhe yad hai ap ne kaha tha aghlaat) hain..wo bhi isliye hain.ke ap ki sar parasti hasil nahi hai. main ap ka pehle din se ehtraam karti rahi aur aj tak karti hon.aur IN SHA ALLAH karti rahongi..ap mere liye ustad ki hesiyat rakhti hain.
Allah pak ap se hamesha khush aur razi rahe. aameen.
JAZAKALLAH...
waise tussi choontiyaan kaddan ich b koi kami nai rakhi tehreer ich.
hunn asi pata nai kitne din uchalte phiraan ge
Bookmarks