SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Taqleed

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Taqleed

      Khudawande aadil ne hamari rehnumayi ke liye ambiya (AS) bhejay jinhon nehamain marzi e khuda se agah kia.Quran Majeed main irshad huwa:“Inna hadainahus sabeela imma shakiran wa imma kafoora”(Yaqeenan hum ne use raaste ki hidayat de di hai chahe wo shukarguzar hojaye ya kufran e ne’mat karne wala hojaye)Sura ad Dahr, Ayat 3Ab ye insaan par munhasir hai ke khuda ke bataye huwe raaste ko muntakhibkare ya uski nafarmani kare. Laikin aql e insaani is baat ko tasleem karti haike kaamyab zindagi wahi hai jo khaliq ki marzi ke mutabiq guzari jaye. Khudawande alam ne ambiya ka silsila hazrat Muhammad par khatam kardiya. Is kebaad deen ki hifazat aur hamari hidayat ke liye aimma alaihimus salam kasilsila jari kya. Maujooda zamane main hamare hadi o rehbar rasool e khuda(SAW) ke barhwain janasheen Hazrat Imam Mehdi (AS) hain jo hukm ekhuda se pardae ghaib main tashreef le gaye to Aap ne barahe rast rabte kijaga apne na’ibeen ke zariye logon ki hidayat ka zariya jaree farmaya.Ghaibat e sughra main aap ne yeki baad deegre chaar na’ib, hazrat UsmanBin Said, in ke bete Hazrat Muhammad bin Usman, Hazrat Hussain bin Rauhaur Hazrat Ali bin Mohammad muqarrar farmaye. Aakhiri na’ibe khaas hazratAli bin Mohd ke 329 AH main intiqal ke baad ghaibat e kubra ka daur shuroo’huwa jis main aap ne khud kisi shakhs ko apna na’ib muqarrar nahin kiya. Iski jaga hamari hidayat ke liye irshad farmaya:“Zamana e Ghaibat e Kubra main paish ane wale halaat ke silsile mainhamari hadeethon ko bayan karne wale ulama ki taraf rujoo’ karo kyunkewoh mairi taraf se tum par hujjat hain aur main Allah ki janib se hujathoon”Is silsile main hamare giyarhwain imam ka irshad hai:“Logon ke liye zaroori hai ke fuqahaa (yani ehkam e shariat ko tafseel otehqeeq ke sath janne walon) main se jo shakhs apne deen ki hifazatkarne wala ho, apni nafsani khwahishaat ka tabi’ na ho aur apne khudaaur rasool ka farmanbardar ho, us ki taqleed karain”Is tarah hukm e imam se ghaibat e kubra main taqleed ka silsila shuroo’huwa.Aqle insani is baat ki ta’eed karti hai ke na janne wala janne wale ki tarafrujoo’ kare. Jab ham beemar hote hain to ilaj ke liye tabeeb ki hidayat paramal karte hain. Isi tarah imarat ta’meer karni ho to me’mar se rujoo’ kartehain. Ma’loom huwa ke har masale main maahireene fan ki janib rujoo’ karnaaql ke ain e mutabiq hai. Bas isi tarah ehkam e khudawandi ma’loom karneke liye aise ulama ki taraf rujoo’ karna jo Quran, Hadeeth aur seerat ema’soomeen se istinbaat kar sakte hon (jinhain mujthaid kaha jata hai) aql kemutabiq hai aur isi ko taqleed kehte hain.“Halal aur haram ko samjho warna tum ghair e muhazzib ho







    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Taqleed

      JazakAllah


    3. #3
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      300
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      119

      Re: Taqleed

      Umda


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •