SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Maqsad e hayat

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Maqsad e hayat

      1960 ki dauhayi ka zikr hai, aik subh cheen ka shehr Beijing golion ki awaz segunj utha. Un golion ka hadaf choti choti chirhyan thin. Baat darasl ye thi kehar saal chirhyan faslon ko nuqsaan pohchati thin. Cheen ke bashinde in kiwajah se bohot pareshan the, chunanche bari soch bichar ke bad unhon nefaisla kia ke unhain maar diya jaye. Chirhyon ko khatm kar ke unhon ne sukhka saans liya. Magar ye sukun aarzi sabit huwa kyunke har saal ke muqablemain un ki faslon ko us se zyada nuqsan huwa. Cheen ke log hairan opareshan huwe ke aakhir aisa kyun huwa? Tehqeeq ke baad unhain ma’loomhuwa ke faslon ko zyada nuqsan pohochane wale wo chote chote keerhe thejinhain ye chirhyaan kha jaya karti theen.Azeez talib ilmo!Is waqa’e se ye nateeja nikalta hai ke khuda ne koyi bhi cheez baghairmaqsad ke paida nahin ki. Har shay ki takhleeq ke peeche aik maqsad haiaur har shay apni wajah-e-takhleq ko poora karne main masroof hai. Khudawande ta’ala quran-e-majeed main irshad farmata hai:“Wa ma khalaqnas samaa’a wal’ardha wama baynahuma batila”(“Aur ham ne aasman aur zameen aur us ke darmiyan ki makhlooqaat kobaikar nahin paida kiya”)-------Surae Suad, Ayat 27Pyare bachho!Ham apne ird gird nazar dalain to har taraf khaliqe kainaat ki ata kardane’matain nazar ati hain jo hamain ghaur-o-fikr ki da’wat deti hain.Hare bhare shaadab darakht hamare mahol ko khushnuma banate hain,hamain tarah tarah ke phal-o-phul faraham karte hain, unki lakri jalane aurmukhtalif cheezain banane ke kaam ati hai, ye thake huwe musafiron kodhoop main saya farahm karte hain. Aaj ki dunya ka aik bohot sangeenmasala mahol ki aaludgi hai, darakht is aaludgi ko kam karne main bhi madadkarte hain.Aasman par chamakta huwa sooraj hamari dunya ko roshan karta hai aur usehararat faraham karta hai. Hamari ghizayi zarooraton ko poora karne mainsooraj ka bara hissa hai, us ki shua’ain darakhton aur faslon ki nasho-numake liye intihayi zaroori hain, doosri janib un ki tapish ki wajah se samandar kapani bhap ban kar badalon ki shakal ikhtiyaar karta hai. Ye badal barish kisoorat main darakhton aur faslon ko zaroori pani faraham karte hain. Insaanki haddiyon ki mazbooti ke liye vitamin-D zaroori hai, hamari jild par parnewali sooraj ki shua’aon se hamare jism main ye vitamin tayyar hota hai.Jadeed sciensy taraqqi ne ye baat sabit ki hai ke sooraj ki shua’on main aiktaqat poshida hai jo bijli aur deegar qism ki eendhan ki taqat ka mutabadilbansakti hai. Is ke ilawa insaan apne jism par ghaur kare to is nateeja parpohochta hai ke koyi bhi az’w bekaar nahi paida kiya gaya aur har az’w apnemaqsad e takhleeq ko ehsan tareeqe se poora karraha hai. Hamare chehrepar maujood naak hamain hairan kardene ke liye kaafi hai. Ye naak bazahir M06 Page AQA-23 v3.00sirf soonghne ka kam deti hai lekin dar-asal ye saans ke zariye phephronmain jane wali hawa ko saaf bhi karti hai, aur use garam aur martoob bhi kartihai. Aisa na ho to hamare liye saans lena mushkil hojaye. Yahi nak sahi awazke paida karne main madadgar hai aur chehre ko khush numa banane mainbhi is ka hisa hai.Dahan-e-insaani main banne wala thook bazahir be maqsad nazar ata hailekin kabhi ye munh main na bane to hamare liye zindagi dushwar ho jaye.Thook hamare halaq, talu aur zuban ko tar rakhta hai, agar ye khushk ho jayeto ghiza hamare halaq se niche na utre.Pyare bachho!Ham ne dekha ke khuda ne adna se adna cheez bhi baghair maqsad kenahin paida ki, to ye kaise ho sakta hai ke khuda ne insaan ko, jo ashrafulmakhlooqat hai, baghair maqsad ke paida kiya ho? Khaliq e kayinaat ne isbaat ko Quran main yun bayan kiya hai:“Afahasibtum annama khalaqnaakum ‘abasan-wa annakum ilaina laturjaoon”(“Kya tum ye khayal karte ho ke hum ne tum ko bekar paida kiya hai aurhamari taraf palta kar nahi laye jao ge”)--------Surae Mominoon Ayat 115Khuda-e-meherban ne takhleeq-e-insaan ke maqsad ki Quran-e-Majeed mainis tarah wazahat farmayi hai:“Wama khalqtal jinna wal insa illa liya’ budoon”(“aur main ne jinnat aur insan ko isliye paida kiya hai ke meri ibadatkarain”) Surae Az Zariyaat Ayat 65Azeez Talib ilmo!Jab ye baat sabit hai ke kaainaat ki har choti bari shay apni takhleeq kamaqsad poora karne main masroof hai to ashraful makhlooqaat hone ke nate’ham par ziyada zimmedari aa’id hoti hai ke hum bhi apni takhleeq ka maqsadpoora karein. Aayein, ehed karain ke kabhi khuda ki nafarmani nahin karengeaur apni zindagi ko allah ke bataye huwe ehkamaat ke mutabiq basarkarenge.“Insanon main sab se afzal woh hai jise khuda ki ibadat se ishq hai”Rasool-eAkram (SAW)SAWALAT1. Cheen ke bashindon ne chirhyon ko kyun mara aur us ka nateeja kyanikla?2. Khuda-e-meherban ne sooraj main hamare liye kya fawaid rakhe hain?3. Dunya ki bazahir be-maqsad nazar ane wali cheezain bhi insaan keliye mufeed hain - misaal se wazih keejiye.4. Khuda ne insan ko kis maqsad se khalq kiya?Insaan ko is maqsad kopoora karne ke liye kya karna chahiye?


      Similar Threads:

    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Maqsad e hayat

      JazakAllah


    3. #3
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      300
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      119

      Re: Maqsad e hayat

      Indeed


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    maksad e takleek ki wajah

    naak kapani

    samandarkapani

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •