google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 2 of 2

    Thread: Nbuwat

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,203
      Threads
      2235
      Thanks
      931
      Thanked 1,366 Times in 867 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7965 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Nbuwat

      Nabuwwat:Sawal: Allah ne ambiya alaihimussalam ko kyun mab’oos kiya?Jawab: Allah ne insan ko khalq kiya aur chaha ke bande is ki marzi kemutabiq zindagi basar karain. Khuda ke adl ka taqaza tha ke wo apnebandon ko un ki takhleeq ka maqsad batane ka intizam kare.Ismaqsad ki takmeel ke liye khuda ne aik lakh chaubees hazar bandonka intikhab kiya jinhon ne allah ke ehkam le kar bandon takpohchaye. Khuda aur bandon ke darmiyan in wasilon ko ambiya kehtehain.Sawal: Nabi ki shanakht kaise hoti hai?Jawab: khuda har nabi ko koyi na koyi maujiza zaroor ata karta hai. Maujizaus ghair ma’mooli fael ko kehte hain jo nabi aone da’wae nabuwwat kisadaqat ke taur par paish kare aur jis ke karne se insan aajiz homasalan: hazrat Isa (AS) ka murdon ko zinda karna ya hamare aakhriinabi ka shiqul qamar (Chand ke do tukre) karna. Pas jo shakhsda’wae nabuwwat bhi kare aur maujiza bhi dikhaye wo khuda ki janibse bheja huwa sachha nabi hai.Sawal: Nabi main kin sifaat ka hona zaroori hai?Jaawab: Khuda se ba’eed hai ke woh kisi a’ala ko kisi adna’ ki pairawi kahukm de. Chunke khuda ne ummat par nabi ki mukammal ita’at wajibki hai, chunanche nabi ke liye zaroori hai ke woh tamam fazail o sifaato kamalaat main jame’ aur apne ehle zamana se afzal ho. Goya nabiilm, bahaduri, sakhawat, ikhlaq e hasana waghaira main apnezamane main sab se a’la darajaat par hota hai. In sifaat ke sath sathnabi ma’soom hona bhi zaroori hai yani wo tamam gunahon se pakho.Sawal: Nabi ka ma’soom hona kyun zaroori hai?Jawab: Nabi logon tak ehkam e shariat pohchane aur inhain aadaab o insaanikamalaat ke husool ki ta’leem dene ke liye mab’oos hota hai. Lehazaagar nabi gunahon aur naqais se mubarra na ho to logon ko is baat

      ka itmenaan nahin hoga ke wo shariyat main koyi tabdeeli nahin karega aur is ke bayan karda ehkam khuda ki janib se hain. Is bina parnabi ke aqwaal o kirdar par logon ko bharosa nahin rahe ga.Chunanche nabi ki pairawi log isi soorat main karainge jab unhainitmenaan ho ke nabi ghalati nahin kare ga. Doosre, ye bhi khuda keadl ke khilaf hai ke kisi gunahgar ki pairawi ka hukm de warna ummatbhi gunah main mulawwis ho jaye gi. Is liye nabi ka masoom honazaroori hai.Sawal: Nabi ka intikhaab khuda hi kyun karta hai?Jawab: Aqli daleelon se sabit hai ke nabi ko apne zamane main har achchisifat o kamaal main a’la tareen darje par hona chahiye. Ab yehinsaanon ke liye kisi tarah mumkin nahin ke woh aise shakhs kishanakht karskain jis main ye tamam khoobian payi jati hon. Lehazanabi ka intikhab khuda hi karta hai kyunke wahi insaan ke zahir obatin se waqif hai.Sawal: nabi ki shanakht ke bad logon ki kya zimmedari hai?Jawab: nabi ki shanakht ke bad logon ka farz ye hai ke un ki nabuwwat kaiqraar karain aur un ki mukammal ita’at karain yani zindagi guzarne kajo tareeqa nabi ne bataya hai, us par poori tarah se amal paira hon.Sawal: allah ne hamari hidayat ke liye kitne ambiya bheje?Jawab: allah ne hamari hidayat ke liye aik lakh chaubees hazar ambiyabheje., jin main pehle hazrat Adam (AS) aur akhri Hazrat MuhammadMustafa (SAW) hain. Hamare nabi khatimul ambiya hain aur un kebaad qayamat tak koyi nabi nahin ayega. In ambiya main 313 barenabi hain jinhain rasool kaha jata hai. In rasoolon main panch kokhuda ne sharee’at ata farmayi jinhain ulul azm kaha jata hai.Ulul azmambiya hazrat Nooh, Hazrat Ibrahim, hazrat Moosa, hazrat Isa, aurhazrat Muhammad Mustafa hain. In main bhi hamare nabi HazratMohd. A’la tareen darajaat par faaiz hain. Aap ki risalat ka iqraar auraap ke khaatimun Nabiyyin hone ka iqraar musalman hone ki sharaitmain shamil hai.



    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      159

      Re: Nbuwat

      JazakAllah


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •