“Main aisa nahin karsakta”Pas aap ne farmaya:“Al-Amro Bainal Amrain”(“Ma’amla dono ke darmiyan hai”)Yani ba’z chezon main insaan mukhtar hai jaise pehla pair uthana aur ba’zcheezon main majbor hai jaise dono pair aik sath uthana.Sawal: Kiya Allah ka bandon ko saza aur jaza dena adal ke mutabiq hai?Jawab: Jin baton main Allah ne insaan ko majboor rakha hai in par jaza osaza nahin hai. Allah bandon ko jaza o saza sirf un baton par deta hai jobandon ke ikhtiyaar main hain. Masalan khuda ne namaz parhne, rozarakhne waghaira par jaza aur gana sunne, gheebat karne par saza rakhi haiaur ye adal ke ain-e-mutabiq hai.
Bookmarks