SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 3 of 3

    Thread: Hamarey aqaid

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Hamarey aqaid

      Sawal: Deen-e-Islam kitne hisson par mushtamil hai?Jawab: Deene-Islam do hisson par mushtamil hai:1. Aqeeda jise Usool-e-Deen kehte hain.2. Amal jise furu-e-deen kehte hain.Sawal: Usool-e-Deen kitne hain aur kaun kaun se hain?Jawab: Usool-e-Deen panch hain:1. Tawheed,2. Adal,3. Nabuwwat4. Imamat5. QiyaamatTawheed:Sawal: Tawheed se kya murad hai?Jawab: Tawheed se murad Allah ke wujood aur uske aik hone par aiteqaadrakhna hai.Sawal: Is kainaat ka khaliq kaun hai?Jawab: Hamara aur puri kainaat ka paida karne wala Allah hai.Sawal: Sifaat-e-Sabootia kise kehte hain?Jawab: Allah main jo sifaat pai jati hain unhain siffate sabootia kehte hain.Inmain se mashhoor sifaat ye hain:1. Qadeem: yani Allah hamesh ase hai aur hamesha rahe ga.2. Qadir: Yani Allah har cheez par qudart rakhta hai – jo kamchahe kare aur jo kam chahe na kare.3. Aalim: Yani Allah har cheez ka janne wala hai, koyi cheez us seposhida nahi.4. Mudrik: Yani Allah baghair ankh ke daikhta hai aur baghair kaanke sunta hai.5. Hayy: yani Allah hamesha se zinda hai aur hamesha zinda rahega.6. Mureed: Yani allah har kam apne irade aur ikhtiyar se karta hai.Wo kisi kam ke karne par majboor nahi.7. Mutakallim: Ynai Allah jis cheez miajn chahe awaaz paidakardeta hai, masalan darakht main awaz paida kar ke HazratMoosa (AS) se baat ki.8. Sadiq: Ynai Allah har baat main sachcha hai.


      Similar Threads:





    2. #2
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Hamarey aqaid

      Sawal: Siffat-e-Salbiya kise kehte hain?Jawab: Allah mian jo sifaat nahi payi jateen, unhain sifaat-e-salbiya kehtehain. Wo ye hain:1. Murakkab nahi: Yani Allah na kisi cheez se mil kar bana hai aurna Allah se mil kar koyi cheez bani hai.2. Jism nahi: Yani Allah kisi qism ki jismaniyat nahi rakhta.3. Makan Nahi: Yani Allha ke rehne ki koyi makhsoos jaga nahi.4. Hulool nahi: Yani na Allah kisi cheez main sama sakta hai aur nausmain koyi cheez sama sakti hai.5. Mara’ee nahi: Yani Allah ko dunya aur akhirat main kahin nahidekha ja sakta.6. Mehell-e-Hawadis nahin: Yani Allah main badalne wali koyicheez nahi hai masalan jawan ho,- baad main boorha hojayewaghaira.7. Shareek nahi: Yani Allah aik hai aur us ka koyi sathi nahin.8. Sifat-e-Zaaid barzaat nahin: Yani Allah ki zaat o sifaat alag alagnahin hain, masalan allah ki aik sifat ilm hai. Aisa nahin ke allahki zaat alag ho aur us ka ilm alag ho, yani wo pehle jahil raha hoaur bad main ilm hasil kiya ho, balke allah jab se hai usi waqt seaalim hai.


    3. #3
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Hamarey aqaid

      JazakAllah


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    allah ki zaat o sifat ke aqaid in urdu

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •