Paish Lafz


is kahani main kirdaar kuch is tarha se bayan kiye ja rahe hain aik hi ghar ki kahani zikar karte hue, ke is kahani main tamaam ke tamaam kirdaar, is dunia main aik aurat ka kya kya kirdaar hai, usko bayaan karte hain.kion ke yahan aik aurat zalim bhi hai aur aik aurat mazloom bhi, aurat paak daman bhi hai aur aurat be hayaee ka paikar bhi, jahan aurat ghareloo zimmedaariyoun ko le kar apni zindagi ko suljhi hui dagar pe chalati hai, waheen doosri aurat apni zimmedariyoun se ya toh tang aa jati hai ya wo ye zimmedari uthaana hi nahi chahti hai, koi aurat kabhi mardoun ke shana bashana bhi hai, aur kabhi wo hi aurat mardoun ki nazroun ka nishaana bhi hai.garz ye ke aurat bohot se kirdaar ada kar rahi hai.kya ye kirdaar mazhab ki riwayat ko barqaraar rakhe hue hain?? kya ye kirdaar koi daramaayee shakal liye hue hain, ya gharailoo kehla kar bhi muakkmal siasat ka lobaada orhe hue hain..aaiye is kahani main in kirdaaroun pe nazar daalain.


sofia (mardoun ke shana bashana/aur ghareloo zimmedaariyoun ko bhi uthaaye hue.3 bachoun ki maan living near by susral)
nadia (sou feesad gharailoo aurat do bachoun ki maan)
resham (resham ke dhaagoun ki tarha narm-o-nazuk shadi ko abhi kuch monthi hi hue hain.)
zunaira (garmiyoun ki dhoop main peepal ki chaaoun jaisi lakin aulad ki naimat se mehroom)
ye teenoun aik doosre ki dewrani jaithani ka rishta nibha rahi hain..
ab zikar karte hain ghar ki malikan ka...bari ammi(asal main toh inka naam salma bee hai,par poore khandan main bare hone ke naate in ka nam bari ammi rakha ja chuka hai, manjhi hui tajarba kaar,aik umar guzaar chuki hain is dunia main aur baqol in ke inhoun ne dhoop main baal safaid nahi kiye.
safa (salma bee ki sab se choti beti naaz nakhroun se pali bari aur 11 behen bhaiyoun main sab se choti,kisi ghareeloo nachaaki ki waja se apne susral se rooth kar aayee hui hai, kuch saal se lagataar yaheen hai,)
marwa (salma bee ki sab se bari beti..rukhsat ho kar toh kisi door sheher main gai thi, par apne shohar ke sath is hi sheher main aa kar aabaad ho gai..toh basa ouqaat us ka is ghar main aana jana rehta hai.




bari ammi aj thora sa moonh banaye bistar pe leti hui thi, umar ka sawal tha toh tabiyat main oonch neech toh rehti hi thi.lakin tabiyat ki oonch neech ke sath sath mizaajan bhi gusse wali , zor se nadia nadia pukaarne lagi, nadia apni doosre number wali beti ko taiyar kar rahi thi, uski beti abhi hi school se wapas ayee thi. aj kaam ki bari thi bhi uski.is ghar main do bahooain ikhati rehti thi apne saas sussar ke sath.rozaana ke jhagroun se door rehne ki khatir bari bahoo ne kaam ki baariyaan aur din laga diye the.toh dono main shaaz-o-nadir hi koi talkh baat hoti hogi.nadia ne aik dafa apni saas ki pukar ko suna an suna kar dia.kion ke bachi ki school se wapsi pe uska dhayaan bhi rakhna zaroori tha, kapre badalwati, khane peene ko poochti, magar zor daar awaaz sunn kar nadia ne apni beti ko hi daadi ke paas poochne ko bhaij dia, kya kaam hai dadi ye keh kar bachi ne paani ka glaas utha kar paani peena shroo kar dia.dadi ne kaha bhaij apni maan ko, kab se bhook lagi hai mujhe. ye sunn ke fat se dada bole inka itna sa bhi khayal nahi rakha ja sakta ke waqt pe khana hi de dia jaye.
bachi ne ja kar seedhe apni maa ko seedhi sadi baat bata di ke daadi khana maang rahi hain, nadia se raha nahi gaya.daadi ke kamre main jane ki bajaye apni jaithani ke kamre main chali gai, aur kehne lagi resham bhabi daikhiye na ..abhi aap ke saamne main ne ammi se khane ka poocha abhi koi das minute bhi nahi hue toh us waqt mana kar dia.aur ab abbu ke samne shor macha rahi hain.resham bhi dheemi muskurahat chehre pe la kar boli..haan main sunn rahi thi. main de aaon khana..(dil main sochne lagi ke pakaya toh is ne hai.khana main de kar aoongi toh soche gi ke kaam main karoon reward ye hasil kare.toh poochna behtar hai) nadia ne fat se kaha ..bhabi jab paka liya hai toh khana khilane main kya mushkil hai.par jab main ne poocha tha tab inkar kia aur uske theek das min bad in ko bhook lag pari mujhe bas ye hi shikayat hai.resham phir se muskurayee aur kahan chalo phir jaow khila aaow..


bari ammi choonke bimaar si theen..shroo se gusse ki taiz.aur har waqt apne jawani ke kaamoun ka zikar karti rehne wali toh, unke kaam main zara si bhi koi dairi karta toh unko bhaata nahi tha.itni dair main nadia aur resham ki nannd bhi ghar wapas aa gai, jo apne susraal waloun se rooth kar do saal se apne maan baap ke ghar hi thi, aur marti kia na karti..ye soch kar dobara se taaleem hasil karna shroo kar chuki thi ke future main koi job kar legi.ghar aate sath hi usne bhi bhabiyoun ke kamroun main ja kar khaane ka poocha, nadia toh bari ammi ko khana khila rahi thi, aur resham apne kamre main apne hi kisi chote mote kaam main masroof thi, ghar ki jhaar ponch karne ke baad ye dono bahooain apne kaam kar liya karti thi, jin main kapre iron karna..maile kapre dhona, ya phir kamre ki almaariyoun aur daraazoun ki safai suthrayee wagaira..garz ye ke dono ne apne apne kaamoun ko bari khoobi se baant bhi rakha tha aur manage bhi kar rakha tha.


resham bhabi bhook lagi hai, ap ne khana kha liya..
nahi safa ham logon ne abhi khana nahi khaya..abhi nadia ammi ko khana khila le phir kha lete hain mill kar( ye teenoun ikhate hi baith kar khana khati thi.) nahi bhabi mujhe bhook lagi hai mujhe khana de dain..resham foran se apna kaam chor kar safa ke liye khana nikaalne kitchen ki taraf chal di..itne main nadia bhi aa gai.aur us ne khud hi sara khana nikaala aru dining table ki taraf rawana ho gai.rozaana ki tarha namak mirch oil ki kami beshi ki baatoun aur aik do college ki qissoun aur ghar ki baatoun ke sath teenoun ne pandra bees minute main khan kha liya..
sara din kitchen ka kaam karne ke baad khana khane ke foran baad dono bahooain dinning table pe hi paanch das minute ko baith kar kuch baatain kar ke khud ko relax kia karti thi..zahir hai phir dono ne namaz aur bakiya kam kar ke dopeher main thori dair ko araam jo karna hota tha.


magar aaj ghar main khasa shor tha. bari ammi ke kamre se gile shikwoun ki awaazain aa rahi thi.aur dono miyan bv aik doosre se batain kar rahe the.bare mian ki aadat thi ke baat toh haqeeqat ki karte the..sahi bhi karte the.par apni bv ke khilaaf koi bat gawara nahi karte the.chahe bat sahi ho ya galat ho.unko har haal main apni bv ka sath hi dena hota hai..magar phir bhi abhi apni bv ko samjha rahe the..
sab kuch toh tumhain bistar pe mill jata hai, resham bhi aati hai, nadia bhi aati hai..nadia toh kaam hi karti rehti hai sare din..har waqt lagi rehti hai.aur kya chahti ho tum..ye kehte kehte jamil sb kamre se bahar nikal aaye aur dinning table pe baithi apni bahooun se mukhatib ho kar bole , jab aap ko loug sare kaam kar hi rahi hoti hain toh in ka kaam bhi waqt pe kar dia karain, waqt pe khane peene ka pooch liya karain,wo kya keh rahi hain ap logon ko, ab daikhain na agar ap logon ki apni ammi hoti toh kya ap unko aise hi awazain dete sunte rehte..nadia aur resham ne aik doosre ki taraf daikha aur jee abba jee keh kar masroof hone ke andaaz main dinning table se bartan uthane lageen.


nadia toh bartan le kar kitchen main rawana ho gai dhone ke liye .aur resham ne wuzoo kia aur zohor ki namaz parhne lagi.ye loug subha ka nashta jaldi karte the toh dopeher ka khana bhi zohar ki namaz se pehle kha liya karte the.resham namaz parhne khari ho gai, namaz toh parh rahi thi, par uska sara dhayan aj ki baatoun pe tha. sab se pehle toh uske zehen main wo baat ayee jo uske dil pe hamesha sab se ziada asar karti thi.wo ye ke das saal se wo issi ghar main rehti thi, sab ki khidmat bhi karti thi,phir bhi uski dewrani yani nadia ke aane ke baad se us ke kaam kaaj ka aur mehnat ka kisi ke paas koi zikar hi nahi tha, kion ke wo beaulad thi.jab ke nadia uski shadi ke paanch saal baad is ghar main ayee thi aur ab tak teen bachoun ki maa hone ki waja se apne kaam ki bari karne ke bawajood wo apni bachiyon ke kaam main bhi masroof rehti thi.toh lagta tha sabko ke sara ghar us ne hi sambhaala hua hai. resham ko waise toh us se koi shikwa nahi tha, kion ke zahir hai uski zimmedari main uske bache bhi hain toh wo hi kaam kare gi apni bachiyoun ke. aur waise bhi nadia ko kuch khas gawaran nahi tha ke resham ka koi khas naam ho is ghar main..ya shayad ye resham ke apne dil ka khayal tha.magar bazahir resham ko aise hi lagta tha jaise nadia apne kaam kaaj ko bohot zahir karti hai sab par..
resham ke zehen main apne sussar sb ki ye bat ghoomne lagi ke unhoun ne hamesha ki tarha aaj bhi ye hi kaha ke nadia toh kaam hi karti rehti hai har waqt..dil hi dil main resham udaas hone lagi aur khud se batain karne lagi ke ya ALLAH kya jin aurtoun ki aulad nahi hoti kya wo is tarha logon ki baatain sunn ne ke liye hi paida hui hain..main itna kam karti hoon.itni tezi se apna kaam karti hoon phir bhi kisi ko mere kaam ka ehsas hi nahi hai.phir bhi mujhe kisi khaate main nahi gina jata.phir khud hi dil ko tassali di ke zahir hai be aulad logon ki aisi hi qadar hoti hai.ye hi sochte sochte usne apni zohar ki poori namaz parh li.aur phir sochne lagi ke ab bistar pe chaloon theek 5 baje dono bhai ghar aa jaye ge aur phir se in dono ne kitchen ki taraf rawana hona hoga.aur bistar pe neem daraz ho gai.magar usko neend kahan aani thi.beauladi ki soch usko aksar jagaaye rakhti thi..wo aksar is hi soch main gumm rehti thi.
udhar safa khana kha kar namaz parh kar apne bistar ki taraf rawana ho gai.par bai ammi ko chain kahan..ye bhi nahi sochti thi ke abhi college se ayee hai.aram kare gi..uspe dabaow daalne lagi ke meri tabiyat theek nahi hai..mere jism main dard ho raha hai, daba do mujhe..safa bhi thori gusse ki tez thi.chirchira kar boli .kya hai ammi..aap ko mera zara sa bhi khayal nahi hai.daba doongi.abhi abhi toh college se ayee hoon.aik min ko bhi araam nahi kia hai aur ap keh rahi hain ke daba doon.thora chala phira karain toh ap ke jism main dard na ho.dr toh aj kal chalte phirte rehne ko kehte hain.par apne toh khud bistar pe hi lita liya hai mustaqil..ye keh kar mare mare hathoun se paanch das minute ko apni maa ke paaon daba ke phir se bistar ki taraf rawana ho gai.aur waheen se lete lete mobile pe sms type kia aur nadia ko sms main kaha.ke ammi ki tabiyat theek nahi hai.dard hai jisam main.jab aap idhar aaow toh daba dena thora sa.aur khud karwat li aur sone ke liye chadar main apna moonh dhak liya.


nadia ko chain kahan tha..abhi kitchen se faarigh hui thi ab bachoun ko khilane pilaane ki fikar thi..aur tabiyatan thori bechain aurat bhi thi.magar ye bhi soch rahi thi ke chalo ab shaam ko resham bhai ki bari hai.toh rest ke liye toh poori sham aur raat pari hai..kal bhi dopeher ko resham bhabi ne hi khana pakana hai.kion ke aj dopeher ka main ne pakaya tha.aik taraf karahi main oil garam hone ko rakha ke choti wali beti ko chips bana ke doongi jo subh se resham bhabi ke paas thi ..jis din nadia kaam karti thi toh sab se choti wali beti resham ke paas hi rehti thi.resham khud ki aulad na hone ki waja se us bachi ko bhar poor pyar karti aur sambhaal kar rakhti.aur jo khila pila sakti thi wo bhi khila pila dia karti thi.par nadia chips bana kar phir bhi deti ye soch kar ke teenoun betiyaan kha laingi..aur phir chips la kar resham bhabi ke hath main pakra diye ke sab se choti beti ko khila dain.kion ke wo bachi dopeher main bhi apke paas hi hoti hai.aur sath hi safa ke sms wala qissa bhi sunaane lagi.bhabi ye koi tareeqa hai .khud abhi sara din ko kaam na kar ke ghar ayee hai.college hi gai thi.wo bhi 11 baje aur theek 1.30 pe ghar aa gai aur ab mujhe sms kar dia ke jab idhar aaow toh ammi ko daba dena..
resham bhi dil se thori gusse main thi.foran boli.yahan toh sari zindagi ye hi chalta rahe ga..aur naam phir bhi koi nahi hota.ab tum apne bachoun ka kaam karo gi toh zahir hai main toh kisi gurya gudde ka kaam nahi kar sakti.mere pas toh bachoun ki zimmedari nahi hai.aur kaam bhi hamare ham ne baant rakhe hain.phir bhi tum ne suna nahi ke mera toh koi naam hi nahi hota..ab safa ki aadat bhi tum ne hi bigaar rakhi hai..tum thora sa bhi bura nahi bann na chahti..aik do dafa mana karo na ke main thaki hui hoon.toh wo tumko sms kar ke bulana chor degi.par tum bura bhi nahi banti aur dil main bura bhala bhi kehti rehti ho.main toh har baat moonh pe kehti hoon.mujh se dil main burayee rakh ke nahi jiya jata.
nadia chup ho gai.
phir resham boli kisi ko kisi ka khayal nahi hai is ghar main.nafsa nafsi ka aalam hai.koi sochta nahi ke bahooain hain inko bhi araam karna hai..phir zor daar awaz ayee..resham resham...
aur ab ke phir se resham ka moonh aik dam se phir se bigar gaya ke lo ji.bari bee ko awaaz chali gai hogi ham dono ki baatoun ki toh daikho bula rahi hai.aur ye kehte hue bistar chorte hue aur chips ki plate bachi ko pakraate hue saas ke kamre ki taraf rawana hui..
resham ko masla ye tha ke abhi kuch maheene pehle usko operation karwana par gaya tha..jis main uska khoon bhi kaafi zaaya ho gaya tha aur uski sehat kuch aisi ho gai thi ke kaam kaaj kar ke uske kaandhe (shoulders) aur taange kaam kaaj ke baad shadeed dard karne lagti theen..magar usko pata tha ke bari bee (bari ammi ko wo dil main bari bee kaha karti thi jab andar se sulag rahi hoti thi..) usko dabane ke liye hi bula rahi hain.par na chahte hue bhi wo aik awaaz pe bari ammi ke paas rawana ho gai ye soch kar ke ab dabana toh pare ga..par bari ammi ne dabane ki bajaye sirf ye poochne ko bulaya tha ke koun aaya hai tumhare kamre main.koi mehmaan hai kya..kis ki awaazain aa rahi hain..resham toh jaise jal kar reh gai.dil hi dil mian sochne lagi.sab pata hai bari bee ko phir bhi jaan boojh kar mujhe zaroor hi pareshan karna tha.awaazain jo aa gai theen inko meri aur nadia ki..foran boli.koun aaya hoga ammi is waqt..nadia hai.chips le kar ayee thi ke malaika(nadia ki sab se choti beti) ko khila do.
ab main jaoon ye keh kar resham darwaze ki taraf palti aur safa ne awaz lagayee bhabi zara aik glass paani de jaaye..usko bhi bura bhala sochte hue resham ne kitchen ki taraf ja kar glass uthaya paani bhara aur safa ko de kar wapas apne kamre main aa gai.4 baj chuke the..aur ab aik ghante baad dono ke shohroun ne ghar aa jana tha.ab sone ka koi faida nahi ye keh kar us ne lap top uthaya aur us pe songs sunn ne lagi.
phir sham ki chaaye (TEA) ka waqt ho gaya.resham uthi jaldi jaldi namaz parhi aur kitchen ki taraf gai.mian ne bhi uske ghar aana tha..toh aata diakha ke goondha hua hai ke nahi hai..ye 5 baje ka waqt bhi aisa hota tha ke jis waqt naan aur tandoor wale toh rotiyaan lagate nahi the.toh in dono ko ghar main hi pakani parti thi.aata nahi tha..us ne foran aata goondha..itne main us ke dewar aur miyan sb bhi ghar lout aaye.tawa choolhe pe rakha aur apne miyaan ki taraf ayee..salam dua hui.aur mian jee jaldi se apne ammi abbu ko salam karne ke liye room se bahar chale gaye.resham bhi kitchen main chali gai mian ke liye khane ka bando bast karne ko.
abhi tawa hi choolhe pe rakha tha itne main safa aa gai kitchen main.bhabi ammi chaaye maang rahi hai.
abhi banati hoon zara tumhare bhai jee ko khana de doon.aur rotiyaan pakaane main masroof ho gai.sochne lagi ke sab ne hi chaaye peeni hai..khana de kar ikhhate hi chaaye bana loongi..das minute toh lagne hain khana dene main.jaldi jaldi rotiyaan paka kar tawe se utaari aur oven main khana garam kar ke apne mian ke hawale kia..abhi soch hi rahi thi ke tea banaoon ja kar toh khane ke baad sab ghar wale ikhate chaaye pee lainge itne main aik zor daar awaaz bulaand hui ke ..chaaye nahi bani abhi tak..resham ne behtar samjha ke pehle baki logon ke liye chaaye bana de gi phir apne aur mian ke liye chaaye bana le gi.aur fatafat kitchen ki taraf dobara se chalti bani..chaaye bana ke bari ammi ke kamre main gai, aur waheen khare khare unko chaaye apne hathoun se pila kar cup wapas laayee.itne main darwaze main apni bari nannd ko khara paaya.unko salam kar ke bhaagti hui dobara kitchen main gai aur wahan chaaye ki piyaali rakh kar apne kamre main khane ke bartan lene chali gai.
shohar ne paani bhi maang liya..paani glass main nikaal kar dobara kitchen ki taraf chaaye banane chali gai. waheen choti naanna bari nannd ke liye chaaye banane ka kehne aa gai.
resham ne chaaye banayee aur aik cup apne shohar ko di aur kuch aur lawaazmaat ke sath tray main chaaye saja ke apni bari naannd ke liye chaaye le gai.aur wahan chaaye rakh ke sochne lagi ke ab araam se ja kar apne kamre main baith kar chaaye pioongi..abhi ye soch hi rahi thi ke choti nannd ne farmaaish kar di ke bhabi main ne parlour aur market jana hai.aap chalain gi mere sath ya main nadia bhabi ko le jaaon..resham toh jaise andar se ulajh kar reh gai, magar phir bhi bare mushkil se alfaaz ko sambhaalte hue kaha, safa main abhi tumhare bhai ko khana dene ke baad chaaye de kar ayee hoon..meri chaaye bhi rakhi hai, phir bartan dho kar main ne raat ke khane ka bhi diakhna hai, tum aisa karo nadia ke sath hi chali jaaow..udhar nadia apne shohar ko khana de kar apni choti beti ki potty hi dhulaane wash room main ja rahi thi, safa ko laga ke ab shayad dair ho jaye gi.wo wapas resham bhabi ke paas louti aur kaha ke aap hi chalo..nadia bhabi choti ke sath masroof hain, resham toh bas pareshan hi ho gai.magar phir himmat kar ke boli.acha ruku bas main das minute main ye chaaye aur khane ke bartan dho loon phir chalte hain.
safa aur resham ke market jane ke baad nadia apne kamre main chali gai,,kion ke ab wo befikar thi ke shaam ko aj uski kam ki bari nahi hai, balke resham ghar aa kar khud hi sham ka khana peena kar legi.magar safa aur resham ko ghar wapas aate aate thori dair ho gai, kion ke safa ko parlour main bhi jana tha.aur aj kal ke parlours main jitna rash hota hai ye toh kis ko nahi pata..magar nadia ka bhi mood nahi tha ke wo ab kitchen ki taraf jaaye..waise bhi zehen ban chuka hota hai ke aj main ne kya karna hai aur kya nahi karna.nadia apne shohar ke saamne halke phulke gusse main baat karne lagi.ab ye mera farz toh nahi hai ke main din ko bhi kaam karoon aur raaat ko bhi.resham bhabi ko jab pata tha ke unhoun ne is waqt ka kam karna hai toh unko safa ke sath nahi jana chahiye tha.mujhe nahi pata main toh aram se letne lagi hoon.waise bhi aj sara din ho gaya.tumhari maa sahiba toh waise bhi aik pal ka chain nahi deti hain, ooopar se in logon ke marketoun ke kaam nahi mukte hain.kisi se ye bhi toh nahi hota ke bachiyoun ko sambhaal le,kaam lena hia toh kam az kam bachiyoun ko toh sambhaal liya karain.main bhi insan hoon.main bhi tak sakti hoon.nadia ke shohar ke zehen main dinn bhar ki office ki thakawat ki waja se koi aur bat toh ayee nahi toh foran nadia ko samjhane laga..tumko koun keh raha hai ke kaam karo. so jaow araam se..wo dono aati hongi.khud hi kar laingi..magar nadia ka khamosh hone ka iraada nahi tha.
han han tum ne toh araam se keh dia ke tum befikar ho kar so jaow..tumhain konsa apne maa baap ke aage jawab dena hai.jawab deh toh ham biwiyaan hain, sara din gadhoun ki tarha kaam karte raho.aur jawab main koi khush hone wala aur aik lafz taareef ka bolne wala bhi nahi, ooopar se tumhari behen ghar aa kar baith gai hai, har waqt chaarpaayee turwa lo us se.aur fashion karwa lo.abh bhala usko kya zaroorat thi market jane ki, usko nazar nahi aa raha ke bari behen bhi ayee hui hai aur resham bhabi ne kam bhi karna hai. han par usko kya fark parta hai..usko toh apne fashion se matlab hai.nakhre bhi nahi liye jaate..aisi harkatin na hoti toh aaj susral se aa kar yahan na pari hoti..shohar ne karwat li aur kaha..bakwas band karo .mujhe sone do..aur nadia chur chur karti kamre se bahar nikal gai,itne main darwaze se resham aur safa ghar ke andar daakhil ho gai.resham bhi kuch dari dari si thi, foran poochne lagi ammi abbu ne khana toh nahi maanga..
nadia aik dam se jaise gurr ki dali ban gai.nahi bhabi abhi khana nahi maanga..main bas ja hi rahi thi unse khane ka poochne ke liye..mujhe laga ke ap logon ko dair ho jaye gi market main.safa tumhari plucking toh ab ke bohot achi ki hai ..kis se karwayee hai. aur dikhaow market se kya layee ho..
resham uska meetha andaaz daikh kar usko dil main bura bhala khayal karne lagi..aur resham ko nadia ke subh ke alfaaz jo wo apni nannd ke liye bol rahi thi yaad aane lage..nadia ke alfaaz subh safa ke liye kuch youn the..daikha hai bari ammi ki dono nawaabzaadiyoun naam daikho safa aur marwa..par dono ki harkatoun main itna fark hai jitna faasla safa aur marwa ki paahariyouun main..dono aik doosre se aadat main bhi aur ikhlaaq main bhi juda juda hain.aik ke toh nakhre hi nahi mukte aur aik ke draame hi khatam nahi hote.
bas araam karwa lo nawabzaadiyoun ko.nadia nadia..nadia ke naaam ki awaazain sunn kar resham ne aik dam se apne dhayan baanta aur kitchen ki taraf jane ka socha..phir khayal aaya ke aik dafa apne shohar ka haal chaal toh pooch le.aur apne kamre ki taraf rawana ho gai..jahan uska shohar pehle se aaine ke samne tayaar khara kahin jane ki taiyaari main tha..resham ne poocha kidher janab.aur ulta sa aik jawab sunn ne ko resham ko mila..tumhain kya..tum toh marketoun main jaow aur baki sab ka khayal karo.resham ko jaise apne aap main sharmindagi hui, aur aik dam se dil main sochne lagi ke shayad koi kami reh gai hai aj..magar phir sambhal kar boli..main ne koi aik cheez bhi nahi li market se.main toh safa ke sath gai thi,
kion tum loug subha main nahi ja sakti jo ab wapas ayee ho..
ja sakte hain..magar ap ki behen sahibha ko sone se ya phir college se fursat ho toh ham subha main jaaye..
resham ki aadhi bat sunn kar baki baat an suni kar ke resham ke shohar darwaze se bahar nikalte hue jate jate keh gaye ke main akhtar ke sath ja raha hoon.aj dinner hai ham dostoun ka..thori dair ho jaye gi..resham pachtaati reh gai ke aik baat tak toh usne aj apne shohar se ki nahi hai, aur ab jab tak uske shohar ki wapsi hogi wo kitchen main hogi ya namaz parh kar sone ki taiyari main hogi.magar kar bhi kya sakti thi.bura sa moonh bana ke reh gai, magar usko ziada sochne ki farsat nahi thi,kion ke us ne kitchen ki taraf jana tha, waise bhi bari nannd aayee hui thi, unke liye raat ka khana bhi pakana tha aur baki jis kisi ne parhaizi khana khana tha uski bhi fikar karni thi, waise bhi resham ki bari nannd sahiba bazahir khud toh akaili ghar aati thi ghar kareeb hone ki waja se.magar unke aane ke ghante do ghante baad unki poori family bhi aa dhamakti thi.
bas ye hi soch kar resham ne khana thora ziada pakane ka faisla kar liya.magar andar se dar bhi rahi thi, ke apni zimmedari pe agar nannd ki family ke liye bhi khana paka liya aur wo loug nahi aaye aur khana ziada ho gaya toh is ke liye bhi usko khud hi jawab deh hona hoga.kion ke is kisam ki zara si bhi galti bari ammi ko bhaati nahi thi.itne main nadia kitchen main aa gai, mashwara lene ke andaaz main resham ne nadia se poocha , kya khayaal hai , thora ziada khana bana loon..ho sakta hai marwa baji ki baki family bhi aa jaye.aur noramaly toh aa hi jate hain baki log bhi.nadia boli,,bana lain jee.yahan ke toh ye hi dastoor hai.jab jis ka jee chaha waqt be waaqt aa jata hai.aur waise bhi ..mehmaan nawazi toh hamare naseeb hi main likhi gai hai,ap bana lain.bach gaya toh ham kal dopeher main istimal kar lainge..resham ko laga ke jaise usko khana munasib miqdaar main pakane ka visa mill gaya ho.aur wo tassali se khana pakane lagi.khair khana wana paka kar resham ne apni bari nannd dewrani nadia aur safa ke sath mill kar kha liya.magar aaj marwa ki baki family nahi ayee thi. resham ke dil main thora dar bhi baitha ke ab faaltoo khane ke liye usko jawab deh hona pare ga..kion ke aksar unke sussar sb kisi bhi khane ya ghar ki kisi cheez ke zaaya ho jane pe apni bahoo raniyou ko zimmedaar tehraya karte the..aur galti aik ki bhi ho toh sun na dono ko hi parti thi.
resham ne khanse se farigh ho kar bakia khana freeze kia aur bartan dhone kitchen main chal di..thori hi dair main us ke shohar sb bhi wapas ghar aa gaye..shohar sb ka mood bohot acha tha.zahir hai entertain ho kar aa rahe the..shugal masti ..waise bhi doston ke sath gappain laga ke kis ko bura lagta hai.resham se kitchen main hi milne aa gaye.kion ke resham is kisam ke surprices se khush hua karti thi ke aj shohar sb jaldi wapas aa gaye,ya short leave le li ..resham ne daikha toh khush si hogai.aur phir dil main bhi aram mehsoos kia ke sarkaar ka mood aacha hai.poochne lagi..chaaye peeni hai..magar abhi sarkar ka mood nahi tha chaaye ka..kehne lage.nahi araam karoonga..waise bhi abhi ammi abbu ke paas bhi jana hai ..aj unke paas bhi nahi baitha hoon.resham fat se boli..aur mere paas kab baithna hai.phir sarkaar baat suni an suni kar ke apne kamre ki taraf chalte bane..aur resham baki kitchen ka kam jaldi jaldi nimtaane lagi ke ja kar ab aram se apne kamre main aram bhi kare gi aur shohar se do char batain bhi kare gi.magar kamre main marwa baji baithi hui thi.aj bhai se unki mulaqaat nahi hui thi toh wo jate jate thori dair ko apne bhai se mulaqat ko chali gai.resham ko dil main bura toh laga.ke sara din ke baad ab shohar ka saamna hua hai raat main aur ab bhi kamre main sakoon nahi.magar phir bhi us ne khule dil aur garam joshi ka hi muzaahira kia.waise bhi koi bhi mehmaan aata wo resham aur uske shohar ke paas zaroor baith kar jate the.kion ke in dono ne hi apne talluqaat sab ke sath ache kar rakhe the.kuch be auladi ne in ko akaila kar rakha tha toh amooman tamaam milne julne waloun se dono bana ke rakhte the.aur sunaaye marwa baji, resham is jumle ke sath marwa ke sath wale sofa pe ja kar baith gai, marwa ne baat sun kar sirf muskurahat se jawab dete hue apne bhai se baat ko jari rakha..koi kaam tha aj marwa baji ko apne bhai se..phir resham ki taraf mukhatib hui.aj ammi bohot shikayat kar rahi thi tumhari ke aa kar paas baithti nahi ho, awaazain lagati rehti hain sunti nahi ho,resham toh jaise aik dam pareshan si ho gai magar khud ko sambhaalte hue boli, baji ap ne sirf aik taraf ki baat suni hai, agar ap main housla hai toh meri bhi bat sunn lain warna is bat ko yaheen khatam kar dain, ye baat marwa ke dil ko kuch bhai, kehne lagi ke bat toh dono taraf ki hi suni jaye tab hi faisla hota hai, magar agar tumhari apni walda tumko awaazain lagati toh kya tum suni an suni kar di, resham ko toh jaise aag lag gai, magar apne shohar aur marwa ki umar ko daikh kar thora lehaaz uski aankhoun main aa gaya..aur bare sambhaal kar boli, baji ap ko ammi ka toh pata hai, ye nahi sochti ke koi masroof hai, koi kamre main hai ya nahi, aap ko toh pata hai.main sara sara din kisi na kisi kam main khud ko masroof rakhti hoon, aur kamre main na houn toh waise bhi ammi ki awaz kitchen main nahi aati.aur safa toh har waqt ammi ke sath hoti hai, uske hote hue bhi ammi mujhe ya nadia ko bula kar koi na koi kaam keh rahi hoti hai, toh sachi baat ye hai ke ye harkat achi nahi lagti dil ko. sara sara din ham dono kaam main masroof rehte hain,ab ammi ko agar chota mota koi kamre ka hi kaam hai toh safa ko kion nahi kehti hain,aur jahan tak awaaz na sunn ne ka talluq hai , main ne aisa kabhi nahi kia ke awaz sunn ke ignore kia ho.main laazmi jati hoon, lakin phir bhi ammi kabhi razi nahi hoti hain..khush hi nahi hoti hain, resham ke shohar ne thora sa gusse se aankhoun hi aankhoun main resham ko daant dia aur jaise ishara kia ke chup ho jaow..magar resham toh aaj subh se hi bare miyan ki baat pe pareshan thi, usko apne shohar ki ghoorti aankhooun ki bhi parwah nahi thi, us ne an daikha sa kar ke apni baat ko jari rakha..
aur sare din ki tafseel batane baith gai, marwa ne sari batain sakoon se suni.aur ye keh kar ke abhi waise bhi kafi raat ho gai hai main ghar jati hoon, baki baat kal hogi kamre se uth kar rawana ho gai. magar resham apne aap main ulajh gai,
aur moonh hi moonh main bolne lagi. ye sahi hai , in ki gulaami bhi karte raho, sara sara din apni kamar tor lo kaam karte hue , aik awaz pe in ki khidmat ko pohoncho, khush phir bhi koi bhi nahi , na koi beti, na ko beta na hi saas susssar..oopar se safa ko la kar sir pe bitha dia hai,apni beti nazar nahi aati, jo sirf kaam ki waja se apne do maasoom bachoun ko susraal chor kar yahan hamare sir pe aa kar baith gai hai, pata nahi kab jaan choote gi is kisam ke logon se..resham ke shohar ko laga ke jaise uski bv ko gussa bohot aata hai, us ne khamosh rehna pasand kia..aur bas itna keh kar ab dimagh kharab mat karo, sara din office ke kaam se thak kar ghar sakoon ke liye aate hain, oopar se tum aurtoun ki baatain khatam nahi hoti..so jaow.aur bistar ki taraf chal dia. resham ko toh jaise pata tha ke shohar ne jawab hi kya dena hai is ke ilawa.
resham ache se janti thi ke us ka shohar majboor hai, agar zara sa bhi usne apni bv ke haq main bolne ki koshish ki toh shohar ke maan baap us ka jeena haram kar dainge.
resham aur nadia aur teesri bahoo ko bhi apne susraal se acha khasa shikwa tha. wo shikwa ye tha ke moon pe baat kaho ye keh keh kar dunia bhar ki batain suna jate hain in ke susraal wale..apni naak ko unhoun ne bas is jumle se katne se bacha rakha tha ke ham toh jo bhi bat hoti hai moonh pe kehte hain,dil main koi baat nahi rakhte..magar ye sochna unko gawara nahi tha ke dil torne wali batain kehne se bhi guraiz hi karna chahiye.
resham apne shohar se mohabbat bohot karti thi, waise hi us ka shohar bhi us se kafi ziada mohabat kia karta tha, bas ye aik mohabbat hi thi dono ke darmayaan ke shikwe giloun ke bawajood aik doosre se nibha rahe the. waise bhi resham ka maan na ye tha ke agar do mian bv main apas main mohabbbat hai toh kisi teesre bande ki waja se aik doosre se shike gile aur taulluqaat kharab nahi karne chahiye..bas ye hi soch kar dono kisi na kisi tarha baat ko sambhaal lete the.chahe bat sambhaalne ke liye resham ki sari sari raat ko neend urr jaye, chahe sara sara din usko apne kamre main akaila baithe rehna pare magar wo har mumkin koshish karti thi ke uski aur uske shohar ki apas main koi badmazgi na ho.
bas issi kisam ke khayalaat sochte hue resham so gai..dono ne aik doosre se baat bhi nahi ki..magar neend main dono hi waswasoun ka shikar rahe, so kar bhi sakoon ki neend nahi ayee dono ko..subha ho gai, aj kitchen ki taraf resham ne jana tha.
jaldi jaldi fajar parhne ke baad apne shohar ke office ke kapre press kiye.aur itne main apne shohar sb ko utha kar office ke liye khud kitchen ki taraf rawana ho gai, nadia aur resham ke shohar dono hi sirf pandra minute ke waqfe se office nikla karte the.pehle resham ka dewar office jaya karta tha aur phir pandra minute baad resham ka shohar..issi waja se nadia kitchen main pehle aaya karti thi,waise bhi nadia ko apne doosre number wali beti ko school bhi bhaijna hota tha.magar amooman resham kitchen main ja kar bas andar hi andar jal kurrhh kar reh jaya karti thi, kion ke wo toh raat ko kitchen subh ke liye bilkul saaf suthra kar ke soti thi, magar subha nadia ne naashte ka kaam karna hota tha toh kabhi jald bazi main toh kabhi la parwaahi main kitchen ko youn bikhair deti thi jaise kabhi kitchen saaf hi nahi hua..bas is hi choti si baat pe aksar resham usko jaithani hone ke naate aik do baatain keh jaya karti thi.magar nadia ki ye baat kafi bari thi ke wo kabhi bhi resham ko palat kar jawab nahi dia karti thi.resham gusse main bat keh toh deti thi, wo bhi darhaqeeqat sirf baat kaha karti thi jhagra resham ne bhi kabhi nahi kia..magar nadia ka jawab na paa kar khud hi sharminda bhi ho jati thi ke ye toh jawab deti nahi.magar resham is baat se achi tarha waqif thi ke .nadia jawab de na de.aik aik baat ki report apne shohar ko zaroor paish kare gi..uska dil ghar waloun se kharab karne ke liye.waise bhi us ne kafi ziada apne shohar ko apne qabze main kar liya tha..ghar waloun ke sath uthna baithna,, batain karna ye nadia ke shohar ka shaiwa nahi raha tha..
din bharr ki masroofyat aur kaam kaaj ki waja se resham aur nadia ko ye roz ki batain roz ke roz hi bhulani parti thi,aur roz nai zindagi jeeni parti thi.naashte se faarig ho kar resham ko khayal aaya ke ab safa ko bhi college jana hoga.uthne hi wali hogi.magar dil main thora bura khayal kar rahi thi, bhala ham bahooun ki kya zimmedari hai ke ab safa ko naashta bhi bana ke dain..do saal ho gaye hain usko apna susraal chor kar aaye hue..phir bhi abhi tak uski mehmaan wali soch khatam nahi hui.kabhi dil karta hai toh kaam kaaj koi kar leti hai, warna kaam kaaj karna uske liye bemaani tha.itne main nadia bhi naashe ke bartan liye kitchen main aa gai.resham itne dhair bartan uski tray main daikh kar andar hi andar thori aur uljhi, magar nadia ki bat ne uska dhayan palat dia.safa uth gai?? resham ne nafi main sir hila dia.
dono ne aik doosre ko aise daikha jaise aik doosre ki baat ko ache se samajh gaye hain.zahir bhi tha ke safa ke moaamle main dono hi dewrani jaithani ki andar se soch toh aik hi thi, bazahir dono jaisa bhi zahir karti.par andar se dono ki ye hi soch thi ke safa kisi nawaab zaadi se kam nahi hai..jab dil chahta hai apni khidmat karwati hai, jab dil chahta hai bahar le jati hai.
magar aj resham ka dil safa ki taraf se thora moum ho gaya tha..kion ke aj fajar ki namaz ke waqt us ne safa aur bari ammi ka roz aana hone wala halka phulka jhagra suna tha.asalmain din bhar toh dono bahooain khayal rakha karti thi bari ammi ka..magar raat main bari ammi ke paas safa ke ilawa aur koi nahi hota tha.aur bari ammi ko aadat bhi thi doosron ka sahara le kar jeene ki.kuch umar ka sawal tha, kuch ghar waloun ke be ja laad aur tawajoh ne unki soch main araam talbi aur mohtaji shamil kar di thi, kisi insan ko itna bhi sahara nahi dena chahiye ke wo sahare ka hi mohtaj ho jaye.aur itna araam talab bhi nahi banana chahiye ke araam karte karte hi wo insan thak jaye.bari ammi ka kuch aisa hi haal tha.waise toh apni sari jawani bari ammi ne kaam kaaj aur mehnat main guzari har ghareloo aurat ki tarha.magar ab shayad unke zehen main tha ke araam ka sahi waqt aaya hai.magar apne araam ki khatir bahoon ko araam cheen lena ye kahan ka insaaf tha.


resham..nadia mujhe toh aj safa pe bara taras aa raha tha.pata nahi wo khud apne bare main kion nahi sochti ke kya sari zindagi wo is tarha hi guzaar degi..bari ammi ne toh usko apni khatir qurbaan kar dia.bari ammi ko toh har waqt kisi ka sahara chahiye, magar unhoun ne ye nahi socha ke bari ammi bhi kab tak zinda hain..aakhir har insan ko is dunia se jana hai.magar kam az kam safa ko toh ye ehsaas hona chahiye ke uski zindagi ka maqsad raatoun ko jaag kar uljhe rehna toh nahi.uski apni bhi toh aulad hai.jab wo bari ammi ki khatir jaag sakti hai toh uski apni aulaad bhi toh uska khayal dil main lati hogi.nadia toh amooman intizar main hoti thi ke koi moqa mile toh fat se safa ke khilaaf bat kare..foran boli, kis ne kaha hai safa ko ke yahan aa kar ruke..kion nahi jati hai apne ghar.taras toh mujhe bhi aata hai.par is par nahi iski aulad par..jin ko chor kar ye yahan aa kar aabaad ho gai hai.
resham bhabi ap khud sochain .,kab tak is ke bache is ka intizar karainge..waise bhi safa ki nannd aur uske susraal waloun ki poori koshish hai ke safa ke bachoun ko safa ke khilaaf bharka dain..resham ne bhi nadia ki bat se ittifaaq kia.
phir boli itni hi samajh hoti safa ko toh aaj apne ghar ko barbaad kar ke yahan na baithi hoti.kya koi bhi aurat itni kamzor ho sakti hai ke apne bachoun se itni asaani se alag ho jaye.kya maa bhi aisi ho sakti hai..ke koi bhi uske bachoun ko us se itni asaani se cheen le..theek hai safa ka shohar koi kaam kaaj nahi kar raha..hai bhi safa se kafi bar umar main.par safa ke liye in sab logon se ziada important uske bache hain..


nadia aur resham dheemi awaaz main kitchen main hi ye baatain kar rahi thi, itni dair main aahat sunte hi dono khamosh ho gayee aur mozoo badal kar kisi aur mozoo pe baat karne ka sochne lagee.nadia ko khayal aaya ke kion na apni choti beti ki baat ko chair de..resham bhi nadia se pehle hi bol pari, hamari laado kya kar rahi hai.nadia kehne lagi cartoon daikh rahi hai..aur dono dhayan dene lagi ke ye aahat jo sunayee di thi wo safa ki thi ya koi aur aaya tha.saamne safa hi nazar ayee..aur teenoun roz aana ki tarha baatoun main mashgool ho gayee.teenoun agar ikhate hoti theen toh yahan wahan ki batain chaira karti theen..magar in teenoun ki baaton se kahin bhi zahir nahi hota tha ke ye teenoun andar hi andar aik doosre se sard jang jari rakhe hue hain.resham amooman apne dil ko saaf rakhne ke liye aur logon ke diloun ko saaf rakhne ke liye kaha karti thi ke har baat ko moonh pe keh dena hi munasib hota hai.insan ka dil bhi saaf ho jata hai.aur bat bhi clear ho jati hai, magar nadia ke khayal main agar aik insan doosre insan ko apni zaban se takleef de toh ye bohot buri baat hai aur ye bat ALLAH ne bhi pasand nahi farmayee..resham ko ye baat sahi lagti thi magar soch ye thi ke nadia ki tarha baat dil main rakh kar andar hi andar apne shohar ka bhi dil ghar waloun se kharab karne se behtar hai ke baat ko saaf saaf keh dia jaye.aur safa ko resham ki ye soch pasand thi.magar phir bhi in teenoun main aik sard jung chalti rehti thi..aur kahbi kabhi ye sard jung aise rukh ikhityaar kar jati thi jaise kisi bhi din achanak bomb k dhamaake ki tarha teenoun phat paraingee..magar aik doosre ka lehaaz bhi bara maani rakhta hai insanoun ki zindagi main..sirf lehaz wo cheez hai jo insanoun ko aik doosre se jore rakhta hai.aur oopar se KHUDA ka khof bhi ho toh sone pe suhaga ka kaam karta hai.magar aj kal khof kahan paaya jata hai itna..loug toh bas aaj main jeete hain.kal ka koi sochta hi nahi hai.


resham apne dil main is nadia ko doghli(dual personality) soch rahi thi.kion ke nadia is waqt bara hi meetha meetha lehja istimaal karte hue safa se batain kar rahi thi, lakin resham nadia ki haqeeqat se ache se waqif thi, nadia ke liye kisi bhi insan ko bura bhala kehna uski gair mojoodgi main koi mushkil kaam nahi tha..magar samne khare insan se uski soch se bilkul mutradif bat karna bhi bari hairaan kunn bat thi, resham ye hi soch rahi thi ke shukar hai kam az kam main toh moonh pe bhi wo hi baat keh deti hon jo peeth peeche kaha karti hoon, sath sath ye bhi soch rahi thi ke pata nahi nadia ki uske bare main kya soch thi. resham asal main is hi khof main rehti thi ke pata nahi loug dil main uske bare main bura toh nahi sochte..ALLAH ko koi bat buri toh nahi lagti..ya us ne kia galti kar di hai..ye sochain aksar usko seedhi rah pe bhi le jati thi, aur doosroun se badla lene se bhi mehfooz rakhti theen.


resham ko lagta bhi tha ke kya pata dil main sare hi loug aisa hi sochte houn jaisa resham sochti hai.magar resham ko aitbar karna nahi aata tha.na hi resham ne aitbar karna seekha.aur apni is be aitbari ki waja se wo nadia pe aksar baatoun main shak hi kia karti thi..kabhi resham socha karti in sab aurtoun ki baatain sunn kar ke bari baat hai mujh(resham) main ye aadatain nahi hain..jahil aurtoun wali batain.apas main baith kar jo dunia bhar ki batain kia karti hain.kis ne kia kya..kia pakyaa khaya,pehna orha..kaha suna...ye sari batain nadia ko na toh karne ka shoq tha na hi nadia ka dil lagta tha aisi batoun main.resham ko lagta tha ke agar is ghar main koi kisi qanoosi rishta aik doosre se nibha raha hai toh wo sirf resham ki zidd main.kion ke resham ne rishtoun ko aik dhaal si de rakhi thi.sab ke liye time nikaalna.sab ke sath uthna baithna.aur dil main sab ka bhala chahna..achi buri baat keh sunn bhi leti thi..aur phir se aise talluq bana leti thi jaise kabhi koi baat nahi hui.ye baat bhi rishte nibhaane main bohot bari baat hoti hai.


Similar Threads: