Aik post parri "Khon k cells se khudkushi ki paishian goyi"

Kuch b herat angaiz nhi laga
maloom nhi ku !!!
zehn k pardon pe kuch guzishta manazir ki tasveer kushi hony...yad aa raha tha wo borhi aurat jis ne court k bahar insaf ki hasrat mai khudkushi ki thi, wo admi jo muflasi k hathon ehtajaj krty jan de gaya, parros ki wo aurat b yad i jis ne mehz grelo jagron k depression mai aa ker khudsuzi ki aur apny 2 sal k bachy ko zamany ki sakhtiyan jheelny ko tanha chorr dia, wo tmam log jo kisi na kisi wja se khud se har gaye ,apny wajod se har gaye, waqt ki azmaishon ka samna na ker sky........

Mai shart laga ker kehti hon 90% logon k liye kisi blood test chemical ki zarorat nhi parrti k wo khudkushi krny waly hain...
khudkushi apni jan se harna nhi balky girdo nawah k logon k ehsas ki framoshi ka naam hai....
Log hmary samny nhi marty hmari un se ghaflat hmary ehsas ki mout unhain mar deti hai

Jb apko smja nhi jata, ap k andar ka habas apki be basi ka ghubar jo ek taweel arsy se ap k andar jama hota rehta hai to wo apni extreme pe pohach ker ap se ap k hawaas cheen leta hai aur ap k aasab pe kbi na khatam hony wali thakan laad deta hai...
Jb koi us thakan us aziyat ko bantny wala na ho, smjny wala na mily, masayi na kry to wo lava phat hi jata hai ....
Han khuda per yaqeen insan ko bacha skta hai per bandy kis liye??? Har kisi ka eman itna mazbot nhi ...Kia Us ne apny bandon k haqoq ko apny haqoq pe foqiyat nhi di???
kia insano ko ek dosry k dard e dil ko mehsos krny k liye nhi bnaya...???


ye na mumkin h k hmary gird o nawah mai koi jan de aur hmain iski wja na maloom ho.....
Sb ko maloom hota hai phir b sb itny framosh ku hoty hain? ye rishty, ye tauluk, ye dostiyan, ye deen akhir kis liye hain agar ye sb ehsas krny se mehroom hain...
Aik fard ki khudkushi......aik muashry se ehsas k khatmy ka naam hai jahan itny logon mai koi ek b qadam barha k osy bachany ki himmat na kr ska , uski dil joyi, uski tashfi na kr ska ....


Dard se mamoor hoti ja rahi hai kainat
Ik dil e insan dard ashna ho na ska !!!


Kash insan insan hoty.....
Kash muhabbat ana, khudgharzi, be hisi pe hawi ho jis ne insani dil ko narmi se mehroom kr dia...
Apny tmam rishton aur gird o nawah k logon ka khayal rakhain, unki dil joi krain sb se muhabbat krain.....kahen apki behisi kisi ki jan na le ly..


Similar Threads: