tujh se ghafil nahi yadoo ko ghum khar rakhta hon
tujh se ghafil nahi yadoo ko ghum khar rakhta hon
mai to putt jhar kay patton ko dil-e-yaar rakhta hon
mujh ko hain yaad ab tak rang saray bahar kay
mai yahan khud ko tanha, yun hi gulzar rakhta hoon
or jo to dai gaya khoon rung, judaii k mujhe ko
dikhlaaonga kabhi dunya ko,shahkaar rakhta hoon
hai teri hi muhabbat se saji meri zindagi
teri ulfat ki batton sai main mehkar rakhta hon
hashiyaari meri he itni, yaa maira bhola pun
jo gaeye choR ,un se hi sarokaar rakhta hoon
khoon rulata hon dil ko tanha teri judai mei
hansta hon mehfilon main shakl-e-funkar rakhta hon
khud hi se mai ye aksar poochlaita hoon meer
woh nahin maira, kion khud ko talabgaar rakhta hoon.
Similar Threads:



 
				Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out 
		
		
					
						
					
						
  Reply With Quote
			







Bookmarks