google.com, pub-2879905008558087, DIRECT, f08c47fec0942fa0
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 2 FirstFirst 12
    Results 11 to 14 of 14

    Thread: Soorah Fatihaa.(Discussion)

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,203
      Threads
      2235
      Thanks
      931
      Thanked 1,366 Times in 867 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7965 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Soorah Fatihaa.(Discussion)

      Pehli Soorat
      Nazool Sab Se Pehle Mukammal Nazil Hoi Baqi Aayat Hi Nazil Hueen.
      Iftitaahi Soorah Iska Matlab Hai.
      Iftaa Chabi Ko Kehte Hain.Toh Ye Quran Ki Ibtidai Soorat Hai
      7 Aayatain Imran Shafi Said Bissmillah Bhi Soorah Fatiha Ka Hisa Hai .Aur Aakhri Do Ayatain
      Unke Nazdeek Aik Ayat Hai.
      Hinifa Ke Ayat Bissmillah Kisi Soorah Ka Juz Nahi. Sirf Malka Saba Ko Likhe Gaye Khat Main
      Shamil Hai.
      Is Ka Asloob Dua Ka Hai.
      Dua Ki Waja Se Ye Hamari Namaz Ka Asal Hisa Hai.Aur Isko Hi Asal Namaz Kaha Gaya.Jo
      Shakhs Iski Tilawat Nahi Karta Uski Koi Namaz Nahi.
      Ikhtilaf Ye Hai Ke. Imam Ke Peeche Khare Ho Kar Is Soorah Ka Parhna Lazim Hai Ke Nahi
      Fiqa Hanfi Main Kisi Bhi Rakaat Main Soorah Fatiha Nahi
      Imam Shafi Har Halat Main Fatiha Parhni Hai Muqtadi Ko
      Imam Malik Kehte Hain Jis Rakaat Ko Khamoshi Se Parha Ja Raha Ho..Imam Bhi Aur Muqtadi
      Bhi..Us Main Parhna Chahiye.Is Main Koi Paicheedgi Nahi.
      Hikmat Quran Ke Lehaz Se Bunyadi Hidayat Har Insan Ke Dil Main Mojood Hai.
      Aur Quran Insan Ke Shaoor Ko Bedar Karta Hai.
      Har Aqal Wala Insan. Aur Saleem Fitrat Insan Az Khud Baghair Kisi Wahi Ki Rahnumaai
      Ke..Baghair Ksisi Nabi Ke Taleem Ke Kuch Natije Nikal Leta Hai. Jaise Allah Hai, Insan Ki Sirf Ye
      Zindagi Nahi. Aisa Insan Wiladat Ke Waqt Muslim Hota Hai.
      Aqal Sahi Kaam Kare Toh Insan In Dono Haqeqat Tak Khud Pohonch Jata Hai.
      Iske Baad Insan Mazeed Hidayat Ki Dua Kare Ga.Kion Ke Nadani Aur Ghalti Ki Gunjaish Hai.
      Raah E Hidayat Ki Dua Insan Karta Hai.Jab Ke Wo Allah Aur Aakhrat Ke Eeman Tak Jaa
      Pohoncha Hai.
      Iska Matlab Ke Ham Ne Allah Ki Toheed Aur Sifaat Aur Aakhrat Hisab Kitaab Ko Jaan Gaye.
      Aur Zindagi Uski Bandagi Main Guzaarne Ka Ehed Kar Dia.Ab Namaz Main Aap Hidayat Ki
      Dua Maangte Hain.Toh Quran Ka Maqam Is Soorah Main Hai. Ke Aap Jitni Door Houn Utne
      Naa Bhatkain.
      Rehman Main Allah Ka Josh.Aur Rahim Main Allah Ki Rehmat Ka Tasalsul Hai. Ye Dono Sifaat
      Allah Pak Ki Zaat Main Hai..Jis Ka Ham Tasswar Nahi Kar Sakte. Hamd Masaavi Hai. Taareef
      Ham Us Chez Ki Karte Hai Jis Main Husn Hai. Magar Ap Shukar Tab Karte Hain Jab Ap Ko Us
      Cheez Se Koi Faida Hua Ho. Ham Main Ye Shukar Ka Pehlu Ghalib Hai. Alhamdulillah Ka
      Bayan Kafi Chezoun Main Shukar Ka Unsar Rakhta Hai.
      Allah Ka Husn Apni Jaga Bhi . Aur Ehsanaaat Bhi Itne Hain Ke Ham Unko Bhi Nahi Gin
      Sakte..Lehazza Ham Ne Alhhamdulillah Rabul Aalameen Keh Kar Allah Ki Tamaam
      Khusosoiyaat Ka Shukar Ada Kar Dia.Kull Taref Us Allah Ke Naam Kar Di..Rehman Aur Rahim
      Hai.Malik Youn Deen. Deen Arbi Main Badle Ko Kehte Hain.Badle Ka Aik Din Hai Jis Din Faisla
      Hoga. Nekyaan Ya Buraiyaan..Kia Ziada Hai.Ye Daikha Jaye Ga Badle Ke Din Par. Is Main Teen
      Batain Hain..Aakharat Ka Din Aye Ga. Hisab Kitaab Hoga. Aur Us Din Ka Malik Sirf Allah
      Hai..Lehaza Kisi Aur Ka Sahara Na Rakhain..Ye Ghalat Soch Hai.Toh Tamaam Ikhtiyaar Sirf
      Allah Ka Hai.Jo Jaza Aur Saza Ke Din Ka Malik Hai.Yahan Se Kalam Rukh Badal Raha Hai.
      (Ye Khitab Shroo Hua)Iyaaka Naa Budu Wa Iyaaka Nasteen..Ham Sirf Teri Bandagi Karte
      Hain Karainge..Madad Maangte Hain Maange Ge..Ye Fail Muzaare Hai..Mustaqbil Aur Haal
      Dono Ko Bayan Karta Hai.
      Haal Main Tarjuma Karain Toh Ye Izzhaar E Haal Hai..Aur Mustaqbil Main Karain Toh Ye
      Wada Hai. Dua Hai. Iyaaka Main Zameer Mafooli. Ham Teri Hi Bandagi Karte Hain Aur
      Karainge..Ye Izhar Haal Hua.Aur Mustaqbil Ke Liye Ye Ehed Hua.
      Ehde Nastirat Al Mustaqeem Ki Ab Hamain Zaroorat Hai. Infiradi Satah Par Beshumar
      Lamhe Aate Hian Ke Insan Confuse Ho Jata Hia Ke Ye Karoon Ke Wo..Qadam Qadam Par
      Hidyat Ki Zaroroat Hai.Aur Ijtimaaee Tor Pe Insan Ke Teen Bare Raaste Hain..Huqooq O
      Itiyaraat Ka Tawazun.Aur Mard Ka Nahi Soch Sakti..Mard Aurat Ke Ehsasat Ko Mehsoos
      Nahi Kar Sakta..Allah Ki Zaat Aisi Hai Jo Dono Hastiyoun Ke Jazbaat Ko Samajhti Hai.
      Khalq Moaashra. Hukumat Chahti Hai Ke Sare Ikhtiyar Mere Houn..Afraad Chahtehain Ke
      Hamari Azaadi Ho..Lakin Afraad Itne Azaad Na Houn Ke Apni Man Maani Karne Lagain..Toh
      Nuskhaa E Aitidaal Kahan Hai. Ye Insan Fix Nah Kar Sakta. Teesra Masla Sarmaya Aur
      Mehnat Main Kia Tawazan Hai. Is Main Nafa Sarmaya Dar Ka Aur Mazdoor Ka Kitna Hai.Ye
      Koun Fix Kare Ga. Sirf Samyadar Hi Na Cha Jayain.Aur Mazdoor Piss Na Jayain. Agar Sirf
      Mazdoor Ko Uske Haq Se Ziada De Dia Jaye Toh Phir Sarmaya Daar Sarmaay Anahi Lagaye
      Ga..


      Ye Teen Problems Ke Liye Hamain Seedhe Raste Ki Zaroorat Hai. Parwardigaar Hamain
      Hidayat Pe Kaaim Rakh..Aur Hamari Rehnumaai Farmaa. Allah Aur Bande Ke Darmayan La
      Mehdood Zariye Hain Hidayat Ke. Aur Is Hidayat Pe Aa Kar Hamain Us Par Qaaiem Rehne Ki
      Bhi Zaroroat Hai. Hidyat La Mehdood Hai. Aur Ham Har Giz Allah Ki Hidayat Ke Baghari
      Manzil Tak Nahi Jaa Sakte.


      Aise Log Jin Par Allah Ne Seedhe Raaste Khole. Un Main Char Tabqaat Hain. Ambiyaa.
      Siddiuuee, Shohdaa. Aam Saaleh Musalmaan. In Ke Raaste Pe Hamian Chala. Jo Tera Gazab
      Nahi Hua . Aur Gazab Un Pe Hota Hai.Jo Hidayat Paa Lene Ke Baad Hidayat Ko Tark Kar
      Dain..Sirf Apni Nafsaaniyat Ki Waja Se. Iski Bohot Bari Misaal Yahoodi Hain.


      Waladuaaleen. Raah Haq Main Bhatakne Wale .Jazbaat Ka Ghalba Rakhne Wale. Aitidaal
      Rakho Har Kaam Main.


      Hadees About Soorah.
      Muslim Sharif Hadees Qudsri
      Allah Tala Farma Rahe Hain.Main Ne Namaz Ko Apne Aur Apne Bande Ke Darmyan Aadaha
      Adha Taqseem Kar Liya.Uska Nisf Mere Liye Hai.Air Nisf Mere Bande Ke Liye Hai.Aur Jo Mera
      Banda Mange Ga Main Usko Doonga.. Jab Banda Kehta Hai Alhamdulillah Rabul Aalameen.
      Allah Farmate Hain Mere Bande Ne Meri Hamd Ki. Jab Banda Kehta Hai Ar Rehmn Nir
      Raheem. Allah Farmata Hai Mere Bande Ne Meri Sana Ki. Jab Banda Kehta Hai Malik
      Youmiddeen..Is Main Allah Ki Tamheed Ki.
      Iyaaka Naa Budo Waa Iyaaka Nastateen. Kehta Hai. Ye Mere Aur Mere Bande Ke
      Darmiyaan Hai. Us Ne Mujh Se Qol W Qarar Kia Meri Bandagi Maan Kar. Aur Mujh Se Madad
      Maangi Hai. Do Fareeqo Ke Mabain Hai. Aur Main Ne Apne Bande Ko Dia Jo Wo Chahta Hai.
      Jab Banda Kehta Hai.Ehdinasirat Mustaqeem Ye Sab Mere Bande Ke Liye Hai..Aur Main Ne
      Apne Bande Ko Dia..Jo Us Ne Maanga.
      Iyaaka Naa Budo Wa Iyaaka Nastaeen. Ye Pehli Teen Aayatoun Ka Natija Hai. Iske Sath Baqi
      Ki Aayatain Aa Gai. Allah Tala Is Ka Asal Mafhoom Hamare Zehnoun Pe Ujagar Kiye Rakhe.


      Similar Threads:





    2. #11
      ...."I don't need your attitude. I've my own"..... www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Arosa Hya's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Peace
      Posts
      5,286
      Threads
      972
      Thanks
      965
      Thanked 827 Times in 507 Posts
      Mentioned
      518 Post(s)
      Tagged
      6978 Thread(s)
      Rep Power
      243

      Re: Soorah Fatihaa.(Discussion)

      great job


    3. #12
      Unregistered
      Guest Unregistered's Avatar

      Re: Soorah Fatihaa.(Discussion)

      Quote Originally Posted by Arosa Hya View Post
      great job
      welldone very nice presentation.


    4. #13
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 $low Poision's Avatar
      Join Date
      Feb 2015
      Posts
      295
      Threads
      62
      Thanks
      10
      Thanked 36 Times in 20 Posts
      Mentioned
      25 Post(s)
      Tagged
      1330 Thread(s)
      Rep Power
      23

      Re: Soorah Fatihaa.(Discussion)

      great.


    5. #14
      Moderator www.urdutehzeb.com/public_htmlClick image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982
      BDunc's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      8,431
      Threads
      678
      Thanks
      298
      Thanked 249 Times in 213 Posts
      Mentioned
      694 Post(s)
      Tagged
      6321 Thread(s)
      Rep Power
      120

      Re: Soorah Fatihaa.(Discussion)

      KHoob


    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 2 of 2 FirstFirst 12

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •