SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 6 of 6

    Thread: Shirk Aur Bidat Main Farq?

    1. #1
      ...."I don't need your attitude. I've my own"..... www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Arosa Hya's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Peace
      Posts
      5,286
      Threads
      972
      Thanks
      973
      Thanked 827 Times in 507 Posts
      Mentioned
      518 Post(s)
      Tagged
      6978 Thread(s)
      Rep Power
      242

      Shirk Aur Bidat Main Farq?

      Shirk Aur Bidat Main Farq?

      Shirk Aur Bidat Main Kya Farq Hai Yeh Samajhne Ke Liye Quran Aur Ahdees Ki Roshni Main Yeh Dekhna Hoga Ke Shirk Aur Bidat Kehte Kise Hain?......

      Shirk Kya Hai?

      Shirk Ki 2 Qisme Hain

      (1) Shirk Akbar

      (2) Shirk Asghar

      Shirk Akbar ... Allah SWT Apni Zaat Ibadaat Aur Sifaat Main Akela aur Be- Misal Hai Kisi Jandar ya Be-jaan, Zinda Ya Fout Shuda Makhlooq Ko Uski Zaat Main Ya Ibadat Main Ya Uski Sifaat Main Shareek Karna Ya Uske Barabar Samajhna Shirk-e- Akbar Kehlata Hai.......

      Shirk Asghar:- Riyakari Ghair Allah Ki Qasam Khana Yeh Sab Shirk-e- Asghar Kehlata Hai .......

      Rasool SAWW Ne Farmaya:-" Tumhare Baare Main Mujhe Jin Cheezon Ka Khof Hai Unme Sabse Zyada Darne Wali Cheez Shirk-e- Asghar Hai, Sahaba Kiram Ne Arz kiya Ya Rasool SAWW Shirk Asghar Kya Hai ? Aap SAWW Ne Irshad Farmaya Riya.
      (Masnad Ahmed Baab Al-riya )


      Bidat Kya Hai ?

      Bidat Kehte Hain Kisi Naye Kaam Ki Ijaad Ko Jo Pehle Na Kiya Gaya Ho...


      Deen Ke Aitabar Se Har Woh Kaam Bidat Hoga Jiska Saboot Quran Ahdees Main Nahin Milta.
      Kuch Ulma ne biddat ki is tra tareef ki "Aise kam jo Aap S.A.W ne qudrat or wasayil rakhnu k bawjood na kiye , ya mana kiya"

      Farman-e-Rasool SAWW hai:-" Jisne Hamare Deen Main Koee Nayee Cheez Ijad Ki Jiska Deen Se Koee Talluq Nahin Hai To Woh Mardood Hai.

      ( sahee Bukhari 2697)

      " Deen Ke Andar Nayee Nayee Chezein Dakhil Karne Se Baaz Raho Bila Shubha Har Nayee Cheez Bidat Hai Aur Har Bidat Gumrahee Hai"

      ( Abu-Da'ud 7064)

      Bidat Ki Qisme :
      1: Achhi Bidat(Bidat-e-Hasna)
      2: Buri bidat(Bidat-e-Sayya)


      Biddat e Hasna


      Al-Quran:
      وَرَهْبَانِيَّةً ابْتَدَعُوهَا مَا كَتَبْنَاهَا عَلَيْهِمْ إِلَّا ابْتِغَاءَ رِضْوَانِ اللَّهِ فَمَا رَعَوْهَا حَقَّ رِعَايَتِهَا ۖ فَآتَيْنَاالَّذِينَ آمَنُوا مِنْهُمْ أَجْرَهُمْ ۖ وَكَثِيرٌ مِّنْهُمْ فَاسِقُونَ

      (Sureh Hadeed:27)

      Tarjuma: Humne unke peeche paighambar bheje aur Maryam ke bete Eisa ko bheja, aur unhe Injeel ata farmayi, to jin logo ne unki pairvi ki, unke dilo me shafqat aur meherbani bhar di, aur lazzat se kinarah kashi ki, aur unhone apni taraf se ek nayi baat ijaad ki, humne uska hukm nahi diya tha, lekin unhone ye apne Rab ki raza ke liye kiya hai, fir jaisa ise nibhana chahiye to nibha na sake, bas jo log inme Eiman wale the to hum unhe bada ajr-o-sawab ata karenge, aur unme bahut se na-farman hain.


      HADEES: Jisne Deen me koi achha tariqa nikala, use sawab milega aur uspar amal karne walo ko bhi utna hi sawab milega,
      aur Jisne Deen me koi bura tariqa nikala, use Gunah milega aur uspar amal karne walo ko bhi utna hi gunah milega.
      (Muslim, Kitabul Ilm)

      HADEES: Hazrat.Umar Faruq r.a ne apni khilafat me pehli bar jab Jamaat ke sath Taraw shuru karayi, to usey farmaya 'Ni'ma Bidato Haazehi'yani 'Kitni achhi bidat hai'.
      (Bukhari, Kitabus Siyaam)

      Biddat e sayya
      Bidat Log Ibadaat Main Bhi Karte Hain Air Aqeede Main Bhi Kuch Bidate Aisi Hoti Hain Jo Aage Jakar Shirk Ka Zariya Banti Hain Jaise Qabron Ka Tawaf Karna Nazron Niyaz Dena Qabr Walon Se Faryaad Karna Aur Bhi Isme Bahot Si Batein Shamil Hain

      Aaj Hum Sab Yeh To Jante Hain Ke Shirk Bahot Barha Gunah Hai Per Bahot Se Log Yeh Nahin Samajhte Ke Shirk Kis Kis Tarhan Se Ho Sakta Hai..

      Afsos Tab Aur Zyada Hota Hai Jab Koee Insan Quran Ahdees Ki Roshni Main Kisi Ko Bataye Ke Aise Kaam Na Karo Yeh Shirk Hai To Log Naraz Ho Jate Hain Aur Apne Us Amal Ko Shirk Mante Nahin...

      Hamne Yeh Samajh Liya Hai Ke Bus Kalma Parh Liya Hai Ab Hum Shirk Kar Hi Nahin Sakte ..

      Hamari Soch Yeh Ban Gayee Hai Ke Ek Kalma Parhne Wala Insan Kabhi Shirk Kar HI Nahin Sakta Hai .

      Jabke Aaj Jahan Nazar Dalein Hamein Wahan Shirk Nazar Ajayga Log Aaj Kya Kya Nahin Kar Rahe Itna Sab To Makkah Ke Mushrekeen Bhi Nahin Karte The..

      MushreKeen-e- Makkah Bhi Allah SWT Ko Mante The Allah Hi Ko Apna Rub Tasleem Karte The Quran Main Allah SWT Ne Iska Zikr Kiya Hai Ke Jab Mushkil Aati To WOh Khalis Allah Hi Ko Pukarte The

      Per Unka Sabse Barha Gunah Yehi Tha Ke Woh Mushkil Door Hone Ke Baad APne Banaye Hue Maboodon Ki Ibadat Karte Aur Jo Butt Un Logon Ne Banaye The Woh Naik Logon Ke Naam Se The ...

      Mushrekeen E Makkah Apne Buzurgo Ko Allah Ke Yahan Apna Sifarshi Banate The...

      Aaj Hum Dekh Lein Jab Hum Kisi Se Kehte Hain Ke Aap Allah Ke Sath In Buzurgo Ko Q Sharek Bana Rahein Hain To Jawab Milega Hum Inki Ibadat Thori Karte Hain Humto Bus In Naik Logon Ka Waseela Lagate Hain. .

      Bilkul Yehi Jurm To Mushrekeen- e-Makkah karte The..

      Aage Hum Khud Sochlein Ke Aisa Kaam karne Wale Ko Kya Kaha Jayga...

      Allah SWT Ne Mushrekeen-e-Makkah Ka Aqeeda Quran Main Bayan Kiya ...

      " Aap Keh Dijiye Ke Woh Kon Hai Jo Tumko Aasman Aur Zameen Main Se Rizk Pohchata Hai Ya Woh Kon Hai Jo Kaano AUr Aankho Per Poora Ikhteyaar Rakhta Hai Aur Woh Kon Hai Jo Zinda Ko Murda Se Nikalta Hai Aur Murda Ko Zinda Se Nikalta Hai Aur WOh Kon Hai Jo Tamam Kaamo Ki Tadbeer Karta Hai ? Zaroor Yehi Kahenge Ke Allah To Unse Kehein Ke Phir Kyon Nahin Darte ? "
      ( Surah Younus-31)

      Bidat..... Aaj Hum Dekhte Hain Ke Log Bidato Main Parhe Hue Hain Chahe Woh Ibadaat Hon Ya Aqeeda Ya Deen Ka Koee Bhi Mamla Har Jagah Logon Ne Bidate Dakhil Kardi Hain.

      Aur Ek Sachayee Yeh Bhi Hai Ke Bidat Jahan Dakhil Hoti Hai Wahan Se Sunnat-e-Rasool SAWW Rukhsat Ho Jati Hai.

      Allah SWT Us Amal Ko Qabool Karega Jiska Hukum Rasool SAWW Ne Diya Aur Woh Kaam Jo Rasool SAWW Ne Karne Ka Hukum Nahin Diya Woh Chahe Hamari Nazar Main Kitna Bhi Khoobsoorat Q Na Ho Woh Allah SWT Ke Yahan Hargiz Qabil-e- Qabool Nahin Ho Sakta.

      Jab logon se Bola Jata Hai Ke Bhai Yeh Kaam Na Karo Yeh Bidat Hai To Woh Jawab Dete Hain Ke Bidat To Phir Har Cheez Hai..

      Jaise Rasool SAWW Ne Bus Main Ya Train Main Safar Nahin Kiya Aap Hum Karte Hain To Yeh Bidat Hai Hamara Libas Bhi Bidat Hai Computer Use Karna Bhi Bidat Hai etc .

      Yeh Jahil Pan Ki Baat Hai Jabke Deen Main Bidat Kise Kaha Jayga Yeh Rasool SAWW Bata Kar Gaye Hain .

      Deen me Koee Naya Kaam Ijad Karna Bidat Hai Jiska Saboot Quran Ahdees Main Na Mile.

      Allah SWT Hum Sabko Shirk Aur Bidat Se Mehfooz Rakhe Aur Inki Haqiqat Ko Samajhne Ki Toufeeq De Aur Jo Log Inme Hain Allah SWT Un Sabko Hidayat De.

      Aameen


      Similar Threads:
      Last edited by Arosa Hya; 04-14-2015 at 01:44 PM.

    2. #2
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 mr_innocent's Avatar
      Join Date
      Apr 2015
      Location
      USA
      Posts
      194
      Threads
      47
      Thanks
      0
      Thanked 0 Times in 0 Posts
      Mentioned
      7 Post(s)
      Tagged
      1111 Thread(s)
      Rep Power
      20

      Re: Shirk Aur Bidat Main Farq?

      app nay dono definitions complete nahe ki...per information bht ache the. thanks
      u need to do more research on these topics and then share it with others. otherwise its not good to share incomplete information with others. that's not good

      thanks


    3. #3
      Respectable www.urdutehzeb.com/public_html KhUsHi's Avatar
      Join Date
      Sep 2014
      Posts
      6,467
      Threads
      1838
      Thanks
      273
      Thanked 587 Times in 428 Posts
      Mentioned
      233 Post(s)
      Tagged
      4861 Thread(s)
      Rep Power
      198

      Re: Shirk Aur Bidat Main Farq?

      Great sharing
      JazakAllah






      اعتماد " ایک چھوٹا سا لفظ ھے ، جسے
      پڑھنے میں سیکنڈ
      سوچنے میں منٹ
      سمجھنے میں دِن
      مگر

      ثابت کرنے میں زندگی لگتی ھے





    4. #4
      ...."I don't need your attitude. I've my own"..... www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Arosa Hya's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Peace
      Posts
      5,286
      Threads
      972
      Thanks
      973
      Thanked 827 Times in 507 Posts
      Mentioned
      518 Post(s)
      Tagged
      6978 Thread(s)
      Rep Power
      242

      Re: Shirk Aur Bidat Main Farq?

      Quote Originally Posted by mr_innocent View Post
      app nay dono definitions complete nahe ki...per information bht ache the. thanks
      u need to do more research on these topics and then share it with others. otherwise its not good to share incomplete information with others. that's not good

      thanks
      i'd talk accordingly my knowledge that's never complete so if u know fully u must put forward it to others who don't know
      thanks


    5. #5
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 mr_innocent's Avatar
      Join Date
      Apr 2015
      Location
      USA
      Posts
      194
      Threads
      47
      Thanks
      0
      Thanked 0 Times in 0 Posts
      Mentioned
      7 Post(s)
      Tagged
      1111 Thread(s)
      Rep Power
      20

      Re: Shirk Aur Bidat Main Farq?

      main zaror share karta hun logon say. per us k leya time ki zarorat hai..janab
      janab main app say yah link share kar raha hun. i hope k app zaror time nikal kar is ko suno gi...Inshallah app k say point clear ho jayain gay...

      http://siratemustaqeem.net/akida-e-t...inar-1st-2009/

      is ko suno


    6. #6
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: Shirk Aur Bidat Main Farq?

      JazakAllah






    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •