Baat aisi hai larki k yahan iss duniya main har aik apni zaat main farishta hai.



Isiliye apnay andar kisi ko bhi koi khami,koi kami,kisi qisam ki koi burai nazar nahi ati.

Keeray sirf dosray logon ki zaat main paye jatay hain,jinki nishan dahi aur ali ul ailan izhar kuch logon par farz hota hai,so becharay apni aag lagawan fitrat say majboor ho kar ziyadtyun par ziyadtiyan kartay jatay hain lekin kiyun k ehsaas say ari hotay hain aur aamal ki jawab dahi say bhi mubarra samjhtay hain isliye khauf nahi ata unhay kabhi bhi.


Dosri baat ye k iss duniya main aisay logon ki bhi kami nahi k jo sirf jeenay ka haq apnay aap ko detay hain,har tarhan ka haq.



Jo baat ya usool unk liye ghalat hota hai wahi dosron k liye durust hojata hai aur jo unk liye sahi ho woh kisi aur k liye ghalat qarar pata hai.



Jisay tum takabbur khayal kar rahi ho meray nazdeek woh ayehtiyat hai...khud ko takleef aur azziyat say bachanay ka aik tariqa.



Jaan bachana farz hai......nahi.



So aisay logon say qata taluq nahi karain lekin khud ko mehdood kar lainay hi main aqalmandi aur afiyat hai.



Rahi baat bar bar maaf karnay ki tou rubby...........Rasool Allah Salal Lahu Alahay Wa'alihi Wassalam,kufar e ma'akah aur fateh e Ma'akah yaad rakha karo