maine puchha chand se
ke dekha hai kahee mera yar sa hasin
chand ne kaha, chandni kee kasam,
nahee nahee nahee
maine puchha chand se

maine yeh heejaab tera dhundha,
har jagah shabab tera dhundha
kaliyo se misaal teri puchhi,
phulo se jawab tera dhundha
maine puchha bag se,
falak ho ya zamin,
aisa phul hai kahee
bag ne kaha har kali kee kasam
nahee nahee nahee
maine puchha chand se ho

chal hai ke mauj kee rawani,
zulf hai ke rat kee kahani
hont hain ke aayine kawal ke,
aankh hai ke mahka do kee rani
maine puchha jaam se,
falak ho ya zamin,
aisi meh bhi hai kahee
jaam ne kaha mehkashi kee kasam
nahee nahee nahee
maine puchha chand se

khubsurati jo tune payi,
lut gayi khuda kee bas khudayi
mir kee ghazal kahu tujhe mai,
ya kahu khaiyyaam kee rubayi
mai jo puchhun shayaro se,
aisa dil nashi koyi sher hai kahee
shayar kahe shayari kee kasam,
nahee nahee nahee maine puchha chand se


Similar Threads: