jab bahar aayi to sehra ki taraf chal nikla
sehan-e-gul chhod gaya dil mera pagal nikla


sehra=desert, sehan=yard, gul=rose

jab ussey dhoondne nikle to nishaaN tak na mila
dil meiN mojood raha aankh se oojhal nikla


oojhal=invisible

woh jo afsana-e-ghum sun ke hansa karte the
itna roye haiN k sab aankh ka kajal nikla


ik mulaqaat thi jo dil ko sada yaad rahi
hum jise umar samjhate the woh ik pal nikla


hum sukooN dhoondne nikle the pareshaan rahe
shehar to shehar hai jungle bhi na jungle nikla


kaun “Ayyub” pareshaan nahi tareeki meiN
chand aftaab pe dil seene mein be-kal nikla


tareeki=darkness, aftaab=face, bekal=uneasy

-Ayyub Romani


Similar Threads: