Kaash Khuda Ne Ye Vidaai Na Banaai Hoti,,,
Maa-Baap Ki Sada Rahti Beti Na Paraai Hoti,,
Khaila Kerti Sada Hi Apne Babul Ke Aangan Me,,
Kabhi Aazmaish Koi Is Ke Sir Pe Na Aai Hoti,,
Rah-e-Safar Me Na Paaon Kabhi Iske Zakhmi Hote,
Piyar Ki Dunya Is Ne Khwabon Me Na Sajai Hoti,,
Na Saajan Hota Na Sajni Hoti Na Sagaai Hoti,,
Na Koi Marz Hota Na Dard Hota Na Dawai Hoti,,
Kaash Wo Khud Hi Jal Ker Khaak Me Miljaata,,
Jis Ne Kisi Ki Beti Ke Ghar Me Aag Lagaai Hoti,,
Kaash Yahan Hur Koi, Hur Kisi Se Wafa Hi Kerta,,
Na Jhooth Hota Na Dhoka Hota Na Be-Wafai Hoti,,
Aik Baar Jo Bas Jata Kisi Ke Dill Me Or Nigaho Me,,
Kaash Phir Iski Kabhi Na Yahan Se Rehaai Hoti,,
Har Aik Ne Rasm-e-Mohavbat Jo Piyar Se Nibhai Hoti,,
Kisi Ne Bhi Phir Naaz Na Zindagi Apni Ganwai Hoti,,
,,,,,,,,,,,,Kaash Khuda Ne Ye Vidaai Na Banaai Hoti,,,,,,,,,,,,
,,,,,,,,,,,Maa-Baap Ki Sada Rahti Beti Na Paraai Hoti,,,,,,,,,,
Bookmarks