(10) "Mohabbat Muaf Kerdeti Hai,,!!"

Khushgawar Zindagi Basar Kerne Wale Husband Wife Ke Beech Bhi Kabhi Na Kabhi Talkhyan Paida Hojati Hain,,,,,.
Ye Koi Unhoni Baat Nahi Hai,, Jab Is Qisam Ki Soorat-e-Hal Paida Hojati
Hai, To Phir Hum Hi Dill Me Kaduratein (Nafratein) Ikatthi Kerte Rahte Hain,,
Lekin Mohabat Ka Taqaza Ye Hota Hai, Ke "DAR-GUZAR" Se Kam Liya Jaaey,,
Baat Dill Me Na Rakhi Jaaey,,,



Maaf Kerne Ka Matlab Ye Nahi Hai Ke Sirf Zahiri Bartav Theek Kerlya Jaaey,
Magar Dill Me Kadurat Rahne Di Jaaey,,,,
Muaaf Kerne Ka Matlab Ye Hai, Ke Doosre Ki Ghalti Ko Dill Ki Gahrayon Se
Faramosh Kerdiya Jaaey,,,,,,




Apas Ke Rishtey Ki Sehet-Mund
Nasho-Numa (Growth) Ke Lye Ye Tarz-e-Amal Nihayat Zaroori Hai,,,,
Akhri Baat Ye Ke,Mohabbat Ka Aham-Tareen Usul Ye Hai Ke
"Apne Jeevan Sathi Or Khud Apne Sath Aisa Saluk Kya Jaaey Ke Jisse
Aap Ki Apni Qadr-o-Qeemat Or Saakh Me Izafa Ho,,,,,,,!!!!!!!