7) Be-Wafaai Azdawaji Ta'lluq Ke Liye Zahr-e-Qatil Hai,

Kahi Kabhi Aisa Bhi Hota Hai Ke Koi Aik Ye Sochta Hai Ke Agar Me Koi Chakker
Chalaoon Or (Meri Wife Ya Mere Husband) Is Se Be-Khabar Rahen To Is Me Koi Harj Nahi,,
Is Ko Koi Nuqsan Ya Takleef Nahi Pohchegi,,,,,,





Magar Yaad Rakhye Ke Is Qism Ke Affairs Aapko Akhlaqi Taur Se Kamzor Kerdete Hain,,,
Isse Shadi-Shuda Zindagi Lazmi Muta'ssir Hoti Hai,,,!!!!
Talaq Tak Nobat Nahi Bhi Ponche To Bhi Aisa Affair Husband Wife Ki
Apas Ki Mohabbat Ke Bandhan Ko Tabah Kerdeta Hai,,,,!!









Shadi Ke Bandhan Ke Pur-Khulus Ehteram Se Dill Ko Itminan Milta Hai,,,
Hame Apna Raaz Chhupane Keliye Dauo-paich Nahi Khelne Parhte,,,
Nahi Kisi Na-Gawar Bhaid Ke Khuljane Ka Darr hota Hai,,,








Lekin Jab Hum Bud-Dyanati Se kaam Len,, Apne Sathi Se Dagha Keren,,
To Hum isse Agaah Hote Hain,,Zameer Hame Malamat Kerta (Bura Bhala Kahta) Hai,,
Gunaah Ka Ehsas Humper Chhaya Rahta Hai,,,,,,,!!!!!!!!