SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 3 of 3 FirstFirst 123
    Results 21 to 24 of 24

    Thread: My Interview

    1. #1
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      My Interview

      Assalam o alikum
      yahan interview section banaane ka maqsad ye hai ke aap log in sawalat ke jawabat dain.. har member apna intervie khud post kare..in sawalaat ke jawabaat de kar. so that har UT member important rahe . sab usko jaan lain..ye basic sawalat hain jinke jawab aap log zaroor dain..aap ki aasaanni ke liye main ne ye thread post kia hai.. toh mere sawaloun ke jawab khud meri zubaani

      1-how are you? aur yahan is hot seat pe baith ke kaisa lag raha hai.

      waisa hi lag raha hai jaisa aap ko lagne wala hai . and Alhamdulillah theek hon main.

      2-ye bataiye sab se pehle aap ke zehen main aisa koi sawaal aaya keh kahin ruby ye na pooch lain, agar aisa koi sawal aaya zehen main toh wo sawal kia tha.aur uska jawab kia hoga.

      mere zehen main ye sawal nahi aaya..kion ke ye sawalat mere zehen hi ne toh banaye hain

      3-apni family aur baaqi qareebi logon ke bare main kuch batayain..

      meri zindagi main meri family mere liye behad important hai. meri parents, brothers , bhabiyaan unke kids. and now my hubby
      in ke ilaawa..mere friends bohot hi ziaada ehmiyat rakhte hain. jin main kuch bohot qareebi hain..net ke ilawa toh aik do friends hi hain.par net par almost 5 to 6 persons are very close to me. I all of them.

      4-aap ke friends kitne hain, aur dostoun ko aap apne kis qadar qareeb rakhte hain?

      main friendship ke hawaale se limited hi hon. par Alhamdulillah sab log mere ache dost ban jate hain. jo log meri nature ko samajh lete hain.wo mujhe apne qareeb samajhte hain..aur jo mujhe apne qareeb samajh le..main uski qareebi dost ban jati hon.

      5-waaldain toh hote hi bohot pyaare hain, par kisi aik ke qareeb ham ziaada hote hain. aap kis ke qareeb ziada hain? ammi ya abbu?

      dono ke. child hood main lagta tha ke abbu se ziada qareeb hon. but after marriage mother ziada qareeb nazar aati hain.

      6-aap ki age, qualification, feild, aur job se related information?

      no job. MBA HR.

      7-aap khud toh zaahir hai apne baare main raaye dena nahi chaahainge, magar apne moonh miyaan mithoo hona chahain toh most welcome. magar apni friends ki nazar main bhi ya baqi logon ki nazar main aap ki over all look kaisi hai?

      Alhamdulillah my friend and people always use to say about my personality that U r good lookin, good personality, etc..

      8-khud main aap ko sab se ziaada Allah pak ki di hui naimatoun main se kia pasand hai?(face features).mujhe pata hai agar main is question ko define na karon toh aap toh baal ki khaal utaar lainge..

      touba hai..kitne ullu type ke sawaal pooche hain aap ne..mujhe mushkil main daal dia (infact in sawaloun ka jawab dene main koi kitni mushkil main pare ga..ye andaza jawab de kar hua mujhe ) eyes pasand hai.

      9-mizaaj ke kaise waaqe hue hain

      mujhe apna mizaaj pasand hai. sab se acha deal karti hon.par kabhi kabhi meter ho jati hon. kisi pe ghussa aa jaye toh na chah kar bhi mera ghussa mere reactions se zahir ho jata hai.

      10-adab se koi dilchaspi?

      bari be adab hoon.

      11-life ko entertain karne ke liye aap ka man pasand mashghala

      net surrfing , listning music, cooking.

      12-man pasand food and drinks?

      all spicy food, fresh juices

      13-bachpan, jawaani ya burhaapa..in main se konsa time period aap ke lehaaz se best hota hai

      bachpan kam aqli main guzar jata hai, jawaani main insan thokar kha kha kar seekh raha hota hai. burhaape ke apne masaail hain. toh is lehaz se har wo waqt jo acha guzre wo hi best time period hai.chaahe kisi bhi age main ho.

      14-insan ko zindagi ke ye phases kaise guzaarne chaahiye define karain, childhood,young age,old age

      childhood
      khoob khail kood kar, aur apin zidd manwaa kar

      jawaani
      apni rooh aur feelings ko control kar ke aur apni had tak rakh kar, apne nafs ko daba kar , aur zehni salaahityoun ko samajh kar aur unko future main kahan istimaal karna hai ye soch kar jawani guzarni chaaiye.

      old age
      relax tention free

      15-UT par bohot hi mehdood list hai aap ke friends ki.. ..aisa kion?

      kion ke abhi UT list hi mehdood hai. waise jo bhi hain yahan sab mere apne hi toh hain.

      16-rich, poor, middle class..in teenoun classess ki best and bad characteristics define karain?

      meri nazar main tamaam insan barabar hain..aur insan ki asal pehchaan uski soch aur aamaal se hoti hai..paisa aani jaani cheez hai..phir bhi log classess ke hawaale se bohot bat karte hain.. issi liye ye sawaal rakha hai main ne..insan ki soch samajhne ke liye.

      it depends ke koi kaisa react karta hia..but

      Rich good characteristics
      zindagi aasan, sab kuch plate main saja sajaaya milta hai, aur khuaahishaat jo ke maadi hoti hain wo easily poori hoti hain, even life kafi easy ho jati hai.kion ke aap diffrent type of helper choose kar sakte hain ap ke liye

      bad characteristics
      some time insan proud ho jata hai, baqi classess ke problems understand karne ke qabil nahi rehta insan.kuch aur bhi hain.par it differs from person to person

      Middle class good characteristics
      insan normal rehta hai. na ameer na ghareeb, jo khuaahishat poori karne ke qaabil hota hai, wo ba aasaani poori kar leta hai..jo poori karne ke qaabil nahi hota..unke liye dua maangta hai.aur achi umeed rakhta hai, ammeroun aur ghareeboun dono ko ache se samajh paata hai. aur maghroor nahi ho pata

      bad character istics
      khud gharz ho jata hai insan..but yahan bhi it differs from person to person.

      Poor class good characteristics
      narm dil ho jata hai insan, doosroun ke problems ko ache se understand kar leta hai, adjuestable nature ho jati hai, har haal main razi aur khush rehne ka aadi ho jata hai insan, pareshaniyoun ka aadi ho kar insan understanding nature ka aadi ho jata hai..

      bad characteristics
      insan ki khud aitmadi khatam ho jati hai ( jab ke khatam nahi honi chaahiye..aik poor insan khud aitmaadi bahaal kar le..toh wo kabhi bujha bujha na rahe) insan ko apne raaiye ghair maani lagne lagti hai.jab ke aisa nahi hona chaahiye.har insan ki apni ehmiyat hai.aur us ehmiyat se koi inkar nahi kar sakta. dil chota ho jata hai. kion ke insan apni madi khuaahishaat ko poori nahi kar pata.. ye ghalat hai.kion ke insan ki madi khuaahishaat hi zindagi ka asal nahi..aur bhi bohot kuch hai.

      kisi ki bhi anjaane main bhi dil aazaari hui ho toh moaaf kijiye ga.



      17-farz karain..jabrann(zabardassti) aap ko snow falling main le jaaya jaye. wahan jaa ke coffee ya tea bhi nahi balke soup bhi nahi peene dia jaye.balke aap se kaha jaye ke dhair saari ice cream khaaiye..toh aap kia karainge?

      khoob ice cream khaoongi..kion ke ice cream ka maza toh hai hi sardi main.

      18-zindagi ke kisi faisle ke waqt pe agar aap ke samne majboori ya sacrifice ka option aa jaye.toh aap konse option ko choose karne waale hain?

      sacrifice, kion ke majboori ka naam le kar apne faisle ko tabdeel nahi karoongi.

      19-dressing kaisi hai aap ki? man pasand dress kia hai

      aisa libas pasand hai.jo insan ko uryaan na kare. sarhi and shalwar qameez is best option for me. Alhamduillah sobar dressess pasand hain mujhe.

      20-zindagi se kia haasil kia? aur kia seekha..

      ye bohot hi vast topic hai. kion ke bohot kuch seekha hai.bohot kuch realize kia hai. jo baat pate ki seekhi .wo ye ke insan ko har waqt apne nafs pe kaam karna chaahiye. doosri baat jo seekhi, wo ye seekhi ke dunia ko kabhi bhi apna hamesha rehne wala maqaam na samjho, phir seekha. ke dunia ke tamaam logon ko ham aik waqt main razi nahi rakh sakte.kion ke har tarha ke insan hain...sab ke jaisa ho jana mumkin nahi.toh sirf khud ko khush rakhna chaahiye. doosri baat jo sab se important hai.ke jab bhi koi khushi haasil ho..Allah pak se foran dua mango ke Allah pak mujhse razi rehna.kion ke Allah razi toh sab razi.
      bohot kuch seekha hai..agar likhne baithoon toh aik kitab hai.

      aur kuch aap poochna chaahain toh poochiye..


      Similar Threads:





    2. The Following User Says Thank You to CaLmInG MeLoDy For This Useful Post:

      MuhammadJabran (04-25-2018)

    3. #21
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: My Interview

      Quote Originally Posted by Ria View Post
      Chlien....
      hmmmmmm Okey


    4. #22
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: My Interview

      Quote Originally Posted by Anmol View Post
      v.nice intro sis ;;;;;;;
      bohot bohot shukria janab..






    5. #23
      Genius Poet www.urdutehzeb.com/public_html illusionist's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      831
      Threads
      202
      Thanks
      34
      Thanked 39 Times in 22 Posts
      Mentioned
      87 Post(s)
      Tagged
      3530 Thread(s)
      Rep Power
      39

      Re: My Interview

      kia kahnay bhae .......... kis sai likhwaya :-p


    6. #24
      The thing women have yet to learn is nobody gives you power. You just take it. Admin CaLmInG MeLoDy's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      6,213
      Threads
      2245
      Thanks
      931
      Thanked 1,367 Times in 868 Posts
      Mentioned
      1038 Post(s)
      Tagged
      7966 Thread(s)
      Rep Power
      10

      Re: My Interview

      Quote Originally Posted by illusionist View Post
      kia kahnay bhae .......... kis sai likhwaya :-p
      kis se likhwaana hai ji..khud hi likha hai..aur fata fat likha hai.






    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Page 3 of 3 FirstFirst 123

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    Nobody landed on this page from a search engine, yet!
    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •