Its dosen't mean k Har baat insaan pe beete to he insaan koch poche,mere khud mind mai na jane kese kese khiyaal o sawalaat peda hote rehte hain.par ap ne jo sawal pocha os ka mene example se samjhana chaha hai,or mai ap ka point of view bilkol samajh gaya ho...yehe k Insaan jise chahta hai jis se muhabbat karta hai os ko mini ap k jazbaat ki qadar to hona chahiye,par mai yehe to samjha raha ho na k ye kesi muhabbat hai k jo Badle mai muhabbat mangti hai ya koch na koch chahti zaror hai.Muhabbat ka jawab Nafrat se kadurat se ya Be Rukhi se mile ya Be Qadri se mile or Chahe jawab he na mile par muhabbat karne wale ki muhabbat agar kum ya khatam hoti hai its mean os ne muhabbat ki he nahe...muhabbat to vo hai k Mehboob Nazr e Iltafaat kare na kare dekhe na dekhe,bole na bole,nafrat kare ya muhabbat,gilla,shikwa kare ya Tareef kare,izat kare ya be izati par ap k dil mai phir bhi agar Vohe vo Insaan basta or Har pal dharkan ki tarhan dharakta hai to its mean Ap Ne Sachi Pakki or Paak Muhabbat ki hai jis Ka Nasha Saroor Mai Ap ko mehboob ki Be Qadri Karne k bawajood bhi ap Os Se Muhabbat karna choor nahe paey,kum nahe kar paey,khatam nahe kar paey.