SHAREHOLIC
  • You have 1 new Private Message Attention Guest, if you are not a member of Urdu Tehzeb, you have 1 new private message waiting, to view it you must fill out this form.

    + Reply to Thread
    + Post New Thread
    Results 1 to 4 of 4

    Thread: Musalman Koon Hain?!

    1. #1
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      82

      Musalman Koon Hain?!



      Musalman Koon Hain?!





      Is amar ko eak thos haqiqat ka darja hasil hai kah Ulma karam nay "Islam" kay asoloon zabtoon aur tariqah-e-kar ki tashri -o-tabeer kay hawala say hosala'afza aur qabal-e-qadar khidmaat anjam di hain. Ba’sad ofsus is kay ba'vajood woh gher'musalmoon kay diloom ko raam nahain kar sakay aur na'hi koe naram gosha paida kar sakay hain. Issi tara almi baradri say molaqaat karnay walay Islam kay hawalas say koee thos noqta-e-nazar paish kar sakay hain. Goya oon ki saee la'hasal rahi hai. Ya'hi waja hai kah lafz musalman gali qisam ki cheez ho kar reh giya hai. Ab to Gher'Muslam is naam say chir si khatay hain aur issay fasadi jhagralu aur dehshat'gard qisam ki cheez samjhnay lagay hain.


      Eak dehshast'gard ko khatam karnay kay liay bohat saray bai'gonahoon ko bhi mout ki neend sola daitay hain. Is say baad'tarein baat yah kah is par onhain koee dukh afsous ya ta'asaf nahain hota. oon kay khayaal main yah bhi dehshat'gard thay jihain maar kar onhoon nay insaniat ki khidmat anjam di hai. goya oon kay nazdeek musalman aur dehshat doo mutradaf alfaz/chizain hain. Musalmanoon kay nazdeek yah thek nahain, ziyadti hai. zobani keh dainay say kiya hota hai. Is ko sabat karnay ki zarorat hai. Yah haqiqat wazay karna lazam hai kah Islam, Salamti ka mutradaf lafz hai. Islam aur dehshat'gardi , doo alag aur motzaad chizain hain. Mafaheem kay hawala say Islam salamti say ibarat hai. Jahaan salamti nahain wahaan Islam kahaan? Yah doon ossi tara eak sath nahain chal saktay jis tara aag aur pabi eak sath nahain chal saktay.


      Islam kay naam par qatal-o-gharat ka saman paida karnay walay musalman nahain hain. Ga'ay ka naam bakri rakh dain wo kis tara bakri ho sakti hai. ya shaiar ki khaal orh lainay wala gadha, shaiar kaisay ho sakta hai. Khaal daikh kar gadhay ko shaiar kehnay walay ki soch main kahein na'kahein khalal zaroor hai, ya wo la'yaeni ghalt fehmi ka shakar ho giya hai. Sojh bojh rakhnay walay par lazam hai kah woh os ki ghalt fehmi ko door karay warna is say bai'intaha kharabiyaan janam lay rahi hain aur lain gi.


      Woh shakas jo apna maal, jan, izzat koja auroon kay maal jan aur izzat ko bhi otna hi aziz rehta ho jitna woh apnay maal jan aur izzat ko aziz rakhta hai, wohhi musalman hai. kisi dosray ki adam mojodgi main bila kahay os ki hifazat karta hai wohhi musalman hai. os ka dastar'khan bila'tameez-o-imtiyaz farakh rehta hai wohi musalman hai. Shab ki duaoon ko apnay tak mahdood nahain rakhta auroon ko bhi os main shamil karta hai wohi musalman hai. Apni piyas ko dosray darjay par rakhta hai aur her dukhi insan kay liay dua ka halqa dararaz karta hai, wohhi musalman hai.
      jo shakhs kisi dusray kay maal jan aur izzat ko halaqat main dalta hai, woh musalman ho hi nahain sakta, koee aur hai. Gun'bardar ossay os kay kidar kay hawala say shanakht karay na'kah naam ko os ki waja-e-shanakht qarar day. Agar woh aisa nahain karta to woh musalman, jo salmti chahta hai par ziyadti ka mortakib ho raha hai.
      Isam rang nasl alaqa qoom zoban qabila konba waghera say motalaq cheez nahin. salamti chahnay wala koee bhi hai os ki shanakht Isalm hai. Salamti ka amin khud ko shiya soni wahabi syed sheik raj'poot jat, araqi, pakistani japani chini bharti irani lohaar tarkhan mochi naee sikh hindu* khah khuch bhi keh lay is say kuch faraq nahain parta, bahar'toor woh musalman hai. Kirdar -o-Amal la'yaeni cheez nahain hain. lughat main achay ya boray ka sabqa musalman kay liay nahain hai. Acha musalman bora musalman kala musalman falaan alaqa ka musalman ahmqana istalahain hain. Musalman bas musalman hai. Is say ziyada ya is say kam nahain.

      shalwaar gitay say opar ya nichay ho is say kiya faraq parta hai. Darhi lambi choti darmiyani ya nahain hai ki koee maniviat nahain. Chon’kah dari lanbi hai lihaza yah dehshat'gard hai bai'maeni baat hai. Mairay khayaal main aaj kay bicharay aur ghareeb Islam ko in kharafaat say door hi rakha ja'ay to acha hai. yah bhi Islam arsa-e-daraz say gitay godoon ki zad main hai. Is ko ab is hawala say munsalik nahain kiya jana chahiay. Salamti ka daera mahdood nahain. Dusra salamti chahnay wala pehlay insan hai phir kuch aur hai. Na woh sarapa fareshta hain aur nah’hi sarapa shitan hain. On say acha bhi hota hai aur bora bi, kabhi danista aur kabhi na'danista.On ki kisi boraee ka sabab koee dosra salamti chnay wala onhain qatal karnay ka haq nahain rakhta. Saza daina qanoon ka kaam hai jo qanoon kay hawala say hona chahiay. Haan dusra salamti ka khahaan os boraee ko khatam karnay ki koshesh kary na'kah boraee kay mortakib shakas ko khatam karay.


      Woh shakas musalman kehlanay ka qatee haq nahain rakhta jo boraee ki bajay insan ko qatal karnay ka rujhan/rovaeya rakhta hai. Sufiya karam aur batni taharat kay qael logoon nay insan kay andar ki taharat par zoor diya aur is kay liay chara bhi kiya. Jin kay sabab bori soch ki hosala shikni hoee. Gonah aur juram ko oon kay ya oon say motalqein kay haan bohat kam daikhtay hain. Wahaan yah oljhao nahain kah shalwar gitay kay opar ho ya nichay. Wo jahaan bhi hai thek hai. Haan os kay hawala say satar'poshi hoee hai aur wo os ki sinaf say motalaq hi hai na'kah sinaf-e-mukhtalif kay motabaq hai. Agar kahein in hazraat kay haan koee boraee ki surat nazar aati hai to wahaan afsoos aur ta'asaf ki aag bhi dikhaee daiti hai. Apni zaat kay moamla main hum onhain behtarein mosaf patay hain.


      Hazrat Sufi Shah Sheik Dr. Mohammad Nur-ul-Islam salamti ka parchar karnay waloon ki rah kay rahi hain. Onhoon nay insan ki khidmat main zindagi ka her lamha mukhsous kar rakha hai. Woh seraf oon musalmanoon kay haqiqi namaenda hain jo salamti ka parcham otha'ay howay hain. Woh insan ki izzat jan maal ko motabar aur mohtam jantay hain. Tamam mosalmanoon (salamti chanay wloon) ko oon kay hath mazboot karna chahiay ta'kah woh her jan'dar ki jan ki salamti ko motabar karnay main apni sari rohani-o-jismani qovatoon ko saraf kar dain aur insan sukh ka sans lay sakay aur sakoon ki nind soo sakay.


      Insan maday say takhleeq howa jis kay sabab os ki sochain bhi maday say wabasta ho gaein. Is tara Unseen par itbar oth giya. woh koee cheez khareed karta hai to sasti kay sath sath achi pai'dar aur khoob'surat ko bhi mad-e-nazar rakhta hai. Ta'alqaat ki ostawari main bhi yahhi paimana mad-e-nazar rehta hai kah jis say ta'alaq banaya ja raha hai woh kaisa hai aur os say kiya labh othaya ja sakta hai. Goya soch ka mehwar bhi mada rehta hai.

      Pojiwar kay moamla main insan bara ehsas waqay howa hai. Woh ossay bhi daikhnay ka khaesh'mand raha hai. Is moqaam par os ki soch tein hisoon main taqseem ho gaee:
      1- Jo dikhaee nahain daita os kay vajood par kaisay kayoon aur kis bonyad par yaqein kar liya ja'ay. Ird gird kay log eak say hain lihaza onhain Pojiwar man lainay ka sawal hi nahain othta. Ashya dastaras main rehti hain lihza ashya pojiwar nahain ho saktein. Goya koee Pojiwar siray say hai hi nahain.
      2- Ambiya kehtay hain kah koee Pojiwar hai aur ossay daikha nahain ja sakta. Lihaza
      Unseen God ko tasleem karkay ossay Pojiwar qarar day diya ja'ay, is main koee mazahiqa nahain
      3- Khuda ka vajood hai aur os ki Existence sifati hawalay say hamaray samnay hoti rehti hai.


      Pehlay tabqay kay log zair-e-behas nahain hain. Issi tara dosra tabqa bhi mobahas say bahar hai. Yahaan baat siraf taisray tabqay say motalaq hai. Is main Musalmain, Hindu aur Esaee dakhal hain:
      Bohat say Musalman hazraat Allah ta'ala ko 99 sifaat** kay hawala say janta aur penchanta hai aur woh in sifaat ko insanoon main talashta hai. Jahaan kaein kisi main koee sift nazar aati hai wahaan os sift kay hawala say naam bhi day daita hai ta'hum woh ossay Pojiwar qarar nahain daita laikin os ki izzat, taqreem aur mohabat Pojiwar ki si dainay lagta hai. Khayaal karta hai kah woh os ki madi khashaat ko pura kar sakta hai ya Allah say pura karwa sakta hai. Yah mohabat taqreem aur izzat ka jazba aur khayaal os shakas kay marnay kay baad bhi ossi tara baqi rakhta hai.
      Hindu Allah Ta'ala ki sifaat ko Devtaoon say mansoob karta hai. Choonkh devta nazar main aanay wali cheez nahain hain is liay onhain botoon ki surat main majassam kar laita hai. woh oon botoon ki poja nahain kar raha hota balkah oon say mansoob sift kay hamal davta ki poja kar raha hota hai ya yoon keh lain mutshakal boot kay hawala say os sift kay hamil devta ko pokar raha hota hai.


      Similar Threads:

    2. #2
      ....You don't need to follow trends to be stylish..... Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 Admin's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Location
      Dubai , Al Mamzar
      Posts
      8,008
      Threads
      254
      Thanks
      372
      Thanked 294 Times in 242 Posts
      Mentioned
      681 Post(s)
      Tagged
      6427 Thread(s)
      Rep Power
      21474854

      Re: Musalman Koon Hain?!

      Bht Umda Sharing Dil labraiz hogya parh kr


    3. #3
      Family Member Click image for larger version.   Name:	Family-Member-Update.gif  Views:	2  Size:	43.8 KB  ID:	4982 UmerAmer's Avatar
      Join Date
      Apr 2014
      Posts
      4,677
      Threads
      407
      Thanks
      124
      Thanked 346 Times in 299 Posts
      Mentioned
      253 Post(s)
      Tagged
      5399 Thread(s)
      Rep Power
      158

      Re: Musalman Koon Hain?!

      JazakAllah




    4. #4
      UT Poet www.urdutehzeb.com/public_htmlwww.urdutehzeb.com/public_html Dr Maqsood Hasni's Avatar
      Join Date
      May 2014
      Posts
      2,263
      Threads
      786
      Thanks
      95
      Thanked 283 Times in 228 Posts
      Mentioned
      73 Post(s)
      Tagged
      6322 Thread(s)
      Rep Power
      82

      Re: Musalman Koon Hain?!

      baqya


      Musalman Koon Hain?!

      Oom kiya hai ?

      Yah toheed ki taqseem nahain, par'tu hai ya hain. Insalaak liay bhi hain. Agar teen eak nahain to kaenaat ka chalna mohal hai. Yah apni origan main eak hai aur vidhi kay bagher God ka vajood bai'maeni hai to baikar ya eak teen main teen apni asal main eak hi ka kay vidhan say isalaak rakhtay aur la'yaeni teharta hai.

      Esaeoon kay haan bhi taslees ka falsafa bunyadi cheez hai. Wo eak ko tein main aur teen ko apni haqiqat main eak mantay hain. Musalm hoon ya Hindu ya Esae yahaan bhi madi hajaat kay hawala say wabasta hotay hain. Koee baita mang raha hai to koee maraz say khalasi . Is tara ki un'haad hajaat os main malavas hoti hain. Shaed hi koee aisa ho jo God ko bila hajat man raha ho.

      Madi shoch asal haqiqat tak rasaee say manay rakhti hai. Pojiwar gher madi hai lihaza jism say jori soch os tak ponch nahain sakti. Lihaza Khuda hissoon bikhroon main hota rahay ga. Khuda ki taqseem ossay maday say door na janay day gi. Madi soch mafaad say zara idhar odhar nahain ho sakati. Goya maira mari aur tashadad amal nahain rok sakay ga. Insan ka khoon issi tara behta rahay ga aur insan ko ki ghalt aur maday say wabasta soch say nikalna opar say koee nahain aa'ay ga. Is hawala say insan kay batan/rooh ki taharat az’bas zarori hai. rooh ki taharat kay sabab insan ka qatal rok ja'ay ga.

      Rooh/batan ki taharat maday say wabasta koee bhi band na kar sakay ga. Yah kaam batan ki taharat say wabasta log hi kar saktay hain. Hazrat Imam e Ka'aba, Hazrat Pope John Paul Sahib jo na'siraf Esaee mazhab kay namenda hain balkah Rohani Paishwa bhi hain. Aisi surat Hazrat Dalaee Lama Sahib kay sath hai. Hindu Dhram kay logoon kay haan Rohaniat say wasta logoon ki kami nahain. Agar yah sab eak ho jaein to insan ko maday ki kathoor garift say nikala ja sakta hai aur is tara insan kay asal pojiwar ki janib marajat mokin ho sakti hai. Yah sab Allah kay hazoor surkh'ru ho saktay hain warna her qatl honay wala Qiyamat kay rooz in kay ru'ba'ru poray ghaiz-o-ghossa kay sath khara ho ga. Os rooz Allah ki sakht garfit say koee kisi ko na bacha sakay ga.
      --------------------------------------
      *(Hindustan ka rehnay wala),
      **Asal haqiqat yah hai kah woh un'haad sifaat ka malik hai. Agar os ki sifaat ginti main aa jaein to os par garift mushkal nahain rehti.


    + Reply to Thread
    + Post New Thread

    Thread Information

    Users Browsing this Thread

    There are currently 1 users browsing this thread. (0 members and 1 guests)

    Visitors found this page by searching for:

    acha musalmaan koon alama iqbal says

    SEO Blog

    User Tag List

    Posting Permissions

    • You may not post new threads
    • You may not post replies
    • You may not post attachments
    • You may not edit your posts
    •