kuch aur maasoomaan sawaalaat.

1- joote ka size kia hai aap ke? zindagi main kitni moqoun pe joote pare hypd
2-hubby se daant khaa ke kaisa lagta hai
3-hubby out of country hain..kin events pe ziaada miss karti hain
4-romantic hain..ya normal
5-farz karain..ke apni bahuu dhondhne jaa rahi hain.toh larki main kia qualities talaash karaingi exp:
6-farz karain damaad talash karne jaa rahi hain toh damaad main kai qualities daikhogi?
7-fav perfume
8-fav dress colour
9-fav dressing style
10-nose pin use karti ho ke nahi?
11-college life main sharmeeli thi, ya bold?
12-log aap se jhagra shroo kar dain toh kia karti hain?
13-pankaj udaas ke aik song main aik sher hai

sharab kitni shareefaana cheez hai saahib
isse piyo toh sach bolta hai insan..

aap ke hisab se ye sharafat hoi ya naadaani?

13-UT ka fav section konsa hai..?
14-UT ke liye koi advise
15-Mere liye koi advise?
16-man pasand gazal share karain
17-chilgoza, moong phali, ya akhrot..in main se konsa dry furit cheelna mushkil lagta hai. aur farz karain..mushkil se aap ka man pasand dry furit aap shell free kar lain aur wo girr jaye toh kaisa lagta hai
18-tention main kaisa reaction hota hai
19-apni mother aur father ki koi aik aik baat aisi bataiye.jo hamesha aap ke kaam aati ho
20-ghar se bahar toh sab hi set ho ke nikalte hain..ghar main aap kaisi rehti hain?

baqi sawal baad main.abhi in ke jawab do