Dr sahab Allah pal apko shifa ata farmaye ameen.Quote:
Ye le janab
"Ab Sirf"
Ek Sacha Waqeaa
Maqsood Hasni
Ye May 2017 ki Bat hai. Rat (Night) 11 Bajai (O'Clock) u mehsos huwa jesay mera sans band horha ho. mai jaldi sai uth kar sihn (Yard) mai agya likn bajaye sans ka silsila apnay rotien par ata, halat mazed bigad gaye. mujay u laga jesay meri jan nikl rahi ho. Raziya' yani meri bewi jo chalnay phirnay sai maazor si hai.badi pareshani mai agaye. wo bawajod apni si koshash k mujai sanbhal nahi pa rahi thi. ham dono k siwa taqreban ghar mai koyi na tha. phir pata nahi is mai itni shakti kahan sai agaye. hamsaya k ghar chali gaye. hamsaya sai meri salam duaa tha. us k donon ladkay agayay r mujay ek private hospital lay gayay.wo jantay thay k sarkari hospital mai lay jana kisi tarha khatray sai khali nahi.wahan doctor r amla mahaz chaltay phirthay lash haien. rastay mai mai bay sudh hogya.
Motorsycle par lay jana bilashuba na mumkinat mai tha likn wo mujay kisi na kisi tarha lay hi gayay. Emergency mai lay jaya gaya.pori tawajja di gayi. mukammal chekup kiya giya. unhon nay mujai meurda (Dead) qarar dai diya. 29 mints k baad ek lamba sans aya. mujay staichar par lata kar baramday (Veranda) mai muntaqil kardiya giya tha.jab unhay bataya giya k lamba sans aya hai to dobara sai ward mai la kar bed par lata diya giya. r doctori amal shoro kar diya giya.Sans r nabz ki bahali hoyi to poran sai pehlay Lahore lay janay k liye kih diya giya. Allah k ihsan sai thek hogya.
is amal nay mujay 3 tajrobon sai guzara.
1. Jan niklna kitna mushkil hai r ye amal insan par kitna dushwar guzar hota hai.
2. Marnay k baad bhi ek jihan hai jo kahani nahi haqeqat hai.
3. Maut sai pehlay mujay Doctor sahib Professor sahib kih kar pukara ja rah tha. Maut k yaqeen par kaha giya dead body lay jawo, lash lay jawo. itni bay mukhi wa bay rukhi. Ezzat zindagi tak thi. kuch to maut k baad bhi protocol diya hota. muhtarma dead body ya lash sahiba lay jawo.kiya ye sab sanson tak tha.mujay apni hisiyat r kartot ka andaza hogya. sab sanson tak hai us k baad kuch nahi.
Ungint (uncounted) aye r chalay gayay.koyi un k mutaliq janta tak nahi. log to mun pherien gay hi, apnay bhi jaldiyon mai hotay hai. kisi k pass itna waqt kahan k mapqood k liye apna waqt barbad karta phiray. ye dunya hai ye apnay hai jo shakhs sai ziyada chnyon r kolyon ko muhtaram rakhtay hai. usi roz mai nai chezoon ko talaq dai di.mai nai jo thoda boht maujood hai un logon k nam kardiya hai .ye janay r cheezeen janay.
Ab sirf is amr ki fikr daman geer hai k Allah pak k ihsinat ka kin alfaz r kesay shukriya ada karon. Dosra apnay danista r nadanista gunaho ki muafi kis tarha mangon. Allah mujay har dawar ka saleqa smjha dai. ap sab meray liye duaa karay.
Apki baton mein insaan duniyawi cheezo se hath kar kch snch pane k koshish karta hai..
Apki batein kafi inspiring hoti hai
Jazakallah Dr sahab