-
Adal
Adal:Sawal: Allah ke adil hone se kya murad hai?Jawab: Allah ke aadil hone se murad hai ke wo har tarah ke nuqs aur burayise paak hai, lehaza allah har wo kaam zaroor karta hai jo achcha hoaur koyi aisa kaam hargiz nahi karta jo bura ho.Sawal: Allah ne insaan ko majboor paida kya hai ya mukhtar?Jawab: Allah ne insaan ko chand baton main majboor rakha hai masalanpaidaish, maut, ra’sha tari hojana waghaira.Is ke bar’aks allah ne insaan ko chand baton main khud mukhtar rakha haimasalan chalna phirna, namaz parhna, gana sunna waghaira.Is ki behtareen daleel Hazrat Ali (AS) ne paish ki:Aap se jab kisi ne poocha ke insaan majboor paida kiya gaya hai yamukhtar to aap ne sawal karne wale se farmaya:“Apna aik pair uthalo”Us ne apna aik pair uthaliya.Phir aap ne farmaya:“Ab doosra pair bhi uthalo”Us ne kaha
-
Re: Adal
“Main aisa nahin karsakta”Pas aap ne farmaya:“Al-Amro Bainal Amrain”(“Ma’amla dono ke darmiyan hai”)Yani ba’z chezon main insaan mukhtar hai jaise pehla pair uthana aur ba’zcheezon main majbor hai jaise dono pair aik sath uthana.Sawal: Kiya Allah ka bandon ko saza aur jaza dena adal ke mutabiq hai?Jawab: Jin baton main Allah ne insaan ko majboor rakha hai in par jaza osaza nahin hai. Allah bandon ko jaza o saza sirf un baton par deta hai jobandon ke ikhtiyaar main hain. Masalan khuda ne namaz parhne, rozarakhne waghaira par jaza aur gana sunne, gheebat karne par saza rakhi haiaur ye adal ke ain-e-mutabiq hai.
-
Re: Adal
-
Re: Adal