Re: Mirza Ghalib Collection
dard minnat kashe-dawa na hua
main na acha hua, bura na hua
jama karte ho kyon raqibon ko
ik tamasha hua gila na hua
ham kahan qismat azmane jayen
tu hi jab khanjar azma na hua
kitne shirin hain tere lab k raqib
galiyan khak bemaza na hua
hai khabar garm un k ane ki
aj hi ghar mein boriya na hua
kya wo namard ki khudai thi
bandagi mein mera bhala na hua
jan di, di hui usi ki thi
haq to yun hai k haq ada na hua
zakhm gar dab gaya lahu na thama
kam gar ruk gaya rawa na hua
rahzani hai k dilsitanee hai
lek dil, dilsitan rawa na hua
kuch to parhiye k log kahte hain
aj 'ghalib' gazalsara na hua
Re: Mirza Ghalib Collection
dayam para hua tere dar par nahi hun main
khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main
kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil
insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main
yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main
had chahiye saza mein uqubat k waste
akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main
kis waste aziz nahi jante mujhe
lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main
rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg
rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main
karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye
kya asman k bhi barabar nahi hun main
'ghalib' wazifakhwar ho, do shah ko dua
wo din gaye ki kahte the "naukar nahi hun main"
Re: Mirza Ghalib Collection
dekhna qismat k ap apne pe rashk a jaye hai
main use dekhun bhala kab mujhse dekha jaye hai
hath dho dil se yahi garmi gar andeshe mein hai
abgina tundi-e-sahaba se pighala jaye hai
gair ko yarab wo kyon kar mana-e-gustakhi kare
gar haya bhi usko ati hai to sharma jaye hai
shauq ko ye lat k hardam nala khenche jaiye
dil k wo halat k dam lene se ghabara jaye hai
dur chashm-e-bad teri bazm-e-tarab se wah wah
nagma ho jata hai wan gar nala mera jaye hai
garche hai tarz-e-tagaful pardadar-e-raz-e-ishq
par ham aise khoye jate hain k wo pa jaye hai
uski bazmaraiyan sunkar dil-e-ranjur yan
misl-e-naqsh-e-mudda-e-gair baitha jaye hai
ho k ashiq wo parirukh aur nazuk ban gaya
rang khulta jaye hai jitna k urata jaye hai
naqsh ko us k musawwir par bhi kya kya naz hai
khenchta hai jis qadar utna hi khinchta jaye hai
saya mera mujhse misl-e-dud bhage hai 'Asad'
pas mujh atishba-jan k kis se thahra jaye hai
Re: Mirza Ghalib Collection
dhota hun jab main pine ko us simtan k paon
rakhta hai zid se khench kar bahar lagan k paon
di sadagi se jan parun kohkan k paon
hai hat kyon na tut gae pirazan k paon
bhage the ham bahut so usi ki saza hai ye
hokar asir dabte hain rahzan k paon
marham ki justaju mein phira hun jo dur-dur
tan se siwa figar hain is khasta tan k paon
Allah re zauq-e-dashtanwardi k baade-marg
hilte hain khud-ba-khud mere andar kafan k paon
hai josh-e-gul bahar mein yan tak k har taraf
urte hue ulajhte hain murg-e-chaman k paon
shab ko kisi k khwab mein aya na ho kahin
dukhte hain aj us but-e-nazukbadan k paon
'ghalib' mere kalam mein kyon kar maza na ho
pita hun khusro-e-shirinsukhan k paon
Re: Mirza Ghalib Collection
dil-e-nadan tujhe hua kya hai
akhir is dard ki dawa kya hai
ham hain mushtaq aur wo bezar
ya ilahi ye majara kya hai
main bhi munh mein zaban rakhta hun
kash pucho k mudda kya hai
jab k tujh bin nahi koi maujud
phir ye hangama, ai Khuda kya hai
ye pari chehra log kaise hain
gamaza-o-ishwa-o-ada kya hai
shikan-e-zulf-e-ambari kyon hai
nigah-e-chashm-e-surma sa kya hai
sabza-o-gul kahan se aye hain
abr kya chiz hai hawa kya hai
hamko unse wafa ki hai ummid
jo nahi jante wafa kya hai
han bhala kar tera bhala hoga
aur darwesh ki sada kya hai
jan tum par nisar karta hun
main nahi janta dua kya hai
main ne mana k kuch nahi 'ghalib'
muft hath aye to bura kya hai
Re: Mirza Ghalib Collection
dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun
dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun
jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun
dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun
qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
maut se pahle admi gam se najat paye kyun
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun
wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun
han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun
"ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun
Re: Mirza Ghalib Collection
dil mera soz-e-nihan se bemuhaba jal gaya
atish-e-khamosh k manind goya jal gaya
dil mein zauq-e-wasl-o-yad-e-yar tak baki nahi
ag is ghar mein lagi aisi k jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hun warna gafil! barha
meri ah-e-atshin se bal-e-anqa jal gaya
arz kije jauhar-e-andesha ki garmi kahan
kuch khayal aya tha wehshat ka k sehra jal gaya
dil nahi, tujh ko dikhta warna dagon ki bahar
is charagan ka, karun kya, karfarma jal gaya
main hun aur afsurdagi ki arazu "Ghalib"! k dil
dekh kar tarz-e-tapak-e-ahl-e-duniya jal gaya
Re: Mirza Ghalib Collection
dil se teri nigah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein razamand kar gai
shaq ho gaya hai sina khusha lazzat-e-farag
takleef-e-pardadari-e-zakhm-e-jigar gai
wo bada-e-shabana ki saramastiyan kahan
uthiye bas ab k lazzat-e-khwab-e-sahar gai
urti phire hai khak meri ku-e-yar mein
bare ab ai hawa, hawas-e-bal-o-par gai
dekho to dil farebi-e-andaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiram-e-yar bhi kya gul katar gai
har bulahawas ne husn parasti shiar ki
ab abaru-e-shewa-e-ahal-e- nazar gai
nazzare ne bhi kam kiya wan naqab ka
masti se har nigah tere rukh par bikhar gai
farda-o-din ka tafarruqa yak bar mit gaya
kal tum gae k ham pe qayamat guzar gai
mara zamane ne 'Asadullah khan" tumhen
wo walwale kahan, wo jawani kidhar gai
Re: Mirza Ghalib Collection
diya hai dil agar us ko, bashar hai kya kahiye
hua raqib to ho, namabar hai, kya kahiye
ye zid, k aj na awe aur aye bin na rahe
qaza se shikwa hamein kis qadar hai, kya kahiye
rahe hai yun gah-o-begah k ku-e-dost ko ab
agar na kahiye k dushman ka ghar hai, kya kahiye
zih-e-karishma k yun de rakha hai hamko fareb
k bin kahe hi unhen sab khabar hai, kya kahiye
samajh k karte hain bazar mein wo pursish-e-hal
k ye kahe ki sar-e-rahguzar hai, kya kahiye
tumhen nahi hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayal
hamare hath mein kuch hai, magar hai kya kahiye
unhen sawal pe zaom-e-junun hai, kyun lariye
hamein jawab se qata-e-nazar hai, kya kahiye
hasad saza-e-kamal-e-sukhan hai, kya kije
sitam, baha-e-mataa-e-hunar hai, kya kahiye
kaha hai kisne k "ghalib" bura nahi lekin
siway isak ki ashuftasar hai kya kahiye
Re: Mirza Ghalib Collection
donon jahan de k wo samjhe ye khush raha
yan a pari ye sharm ki takrar kya karen
thak thak k har maqam pe do char rah gaye
tera pata na payen to nachar kya karen
kya shama k nahin hai hawa khwah ahal-e-bazm
ho gam hi jan gudaz to gamkhwar kya karen